Azadari MediaAzadari Media

Ayyam e Fatimiyah Noha - Aa Seene Se Lagja - Ayam e Fatmiyah Noha - Zeeshan Ali Hussaini

Ali Zeeshan

Listen to this nauhaPlay the audio with lyrics
Ye Bande Kafan Tod Ke kehne lagi Zehra, aa sine se lagja, Me dekh tere waaste laut aayi hu beta, aa sine se lagja. 2)Istarha nahi rooth te Amma se aye beta,Kya baat hui Maa se koi laal ye batla, Kyu door khada rota hai aa paas mere aa, aa sine se lagja. 3) Me dekh nahi sakti tere Ankho me aansu, Mehnat se tujhe Paala hai Kistarha se dekhu, Tadpaata mujhe hai tera har aansu ka katra, aa sine se lagja.4) Lagti thi tujhe Pyaas bohut Raat me aksar,Me Paani pilati thi tujhe raat me uthkar, Ab jabbhi lage Pyaas tujhe baba se kehna, aa sine se lagja.5) Hain Saamne aye laal tere merey ye ahwaal, Mein paas me ab nana Ke jaati hu mere laal, Ye aakhiri lamhaat hai aa sine se lagja, aa sine se lagja. 6) Har lamha Teri yaad bohut ayegi beta, Madar ko Teri shakl yeh tadpayegi beta, Qabl iske chali jaoon main yeh chhod Ke duniya, aa sine se lagja. 7) Zamin wo Sada sunke bohut roye hai'n sarwar, Or phir wo chale rote hue janibe madar, Kehti rahi bete se lipat kar yahi Zehra, aa sine se lagja.

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.