Haaye...Haye jawan laal ko maqtal se jab uthake chaleHussain rote rahe aur pisar se kehte raheKhamosh na ho baap se baatein karo akbarKhamosh na ho baap se baatein karo akbar..(3)Hum tum ko mila denge..Hum tum ko mila denge phupijaan se jaakar1. Aye laal kaleje mein abhi dard to hoganikla hai lahu itna badan sard to hogatum chup ho to chalte hai..(2)mere qalb pe khanjar2. Qadmo ki taraf se hai uthaye hue babaaur sar ki taraf se hai sambhale hue Zahraankho'n ko zara kholke dekho to yeh manzar3. Tum khoon ugalte ho to bhar jata hai chullubatlao karein zabt kaha tak mere aasubeta nikal aayega kaleja mera bahar4. Darya pe gaye honge jo ladte hue betajaldi se batao mera phat-ta hai kalejakis haal mein hai lasha e abbas e dilawar5. Tum khud bhi samajhte ho yeh majboori meri haiahista jo chalta hun kamar tooti hui haithoda sa safar baaqi hai..(2)himmat karo dilbar6. Beta hume maidan ki rudaad sunaokya haal hai ab pyaas ka baba ko bataoanguthi dahan se kyu nikal aayi hai bahar7. Maathe se pasina to abhi saaf kiya haikya zakhm ki takleef ne muh khol diya haisaansein kyu meri jaan nahi aati barabar8. Sheh bole takallum ke utho aagaya khaimaseene se zara haath hata lo mere betais haal mein dekhengi to, mar jayegi madarKhamosh na ho..Khamosh na ho baap se baatein karo akbar
Baap se batein karo akbar
Mir Hasan Mir · 2024
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.