Haaye Jab Raah-e-Shaam Mein Dekha Ghareeb Baap (a.s) Ka Sar, Nok-e-Sina ParTo Sakeena (s.a) Ne Tadap Kar Yeh Kiya Tha NohaBaba (a.s)... Baba (a.s)... Baba (a.s)... Baba (a.s)Jab Koi Yateema Kehta HaiMujhe Aap (a.s) Bohat Yaad Aate Hain (x2)Kab Hoga Safar Khatam Yeh MeraRaahon Mein... Kaanton ParChalte Chalte Main Thak Gayi Hoon Baba Jaan (a.s)Baba Jaan (a.s)... Baba Jaan (a.s)Chalte Chalte Main Thak Gayi Hoon Baba Jaan (a.s)Jab Se Rasan Mein Yeh Gala HaiBaba (a.s) Mera Dam Ghut Raha HaiMushkil Hai Yeh Safar (Aey Baba a.s)Main Is Safar Mein Mar Na JaoonAakar Sambhalo Gir Na JaoonKhaak Par... Dekho Na... Panjon ParChalte Chalte Main Thak Gayi Hoon Baba Jaan (a.s)Baba Jaan... Baba Jaan (a.s)Chalte Chalte Main Thak Gayi Hoon Baba Jaan (a.s)Baad Aap (a.s) Ke Jab Shimr AayaBaba (a.s) Mera Daaman JalayaCheene Mere Gohar (Aey Baba a.s)Deti Rahi Ro Kar DuhaayiBaalon Se Khincha Jab Main AayiLaash Par... Zakhmi Hai... Mera SarChalte Chalte Main Thak Gayi Hoon Baba Jaan (a.s)Baba Jaan (a.s)... Baba Jaan (a.s)Chalte Chalte Main Thak Gayi Hoon Baba Jaan (a.s)Pehle To Mujh Ko Ek Qadam BhiChalne Nahin Deta Tha Bhai (a.s)Kya Woh Bhool Gaya (Aey Baba a.s)Baba (a.s) Teri Jis Par Nazar HaiHaan Woh Mere Bhai (a.s) Ka Sar HaiPoochho Zara... Sunta Nahin... Kyun Akbar (a.s)Chalte Chalte Main Thak Gayi Hoon Baba Jaan (a.s)Baba Jaan (a.s)... Baba Jaan (a.s)Chalte Chalte Main Thak Gayi Hoon Baba Jaan (a.s)Sab Dekhte Hain Bas TamashaJo Bhi Mila Dekho TamaachaUs Ne Maara Mujhe (Aey Baba a.s)Kab Tak Raha Hogi Sakeena (s.a)Yaad Aa Raha Hai Ab MadinaBaba (a.s) Mujhe... Jaaoon Gi... Main Kab GharChalte Chalte Main Thak Gayi Hoon Baba Jaan (a.s)Baba Jaan (a.s)... Baba Jaan (a.s)Chalte Chalte Main Thak Gayi Hoon Baba Jaan (a.s)Ro Kar Sakeena (s.a) Ne Sada DiSeene Pe Sonay Ki Hoon AadiNeend Aa Rahi Hai Mujhe (Aey Baba a.s)Main Khaak Par So Na Sakoon GiBas Yeh Sada Deti RahoongiBaba (a.s) Tujhe... Godi Mein... Lo AakarChalte Chalte Main Thak Gayi Hoon Baba Jaan (a.s)Baba Jaan (a.s)... Baba Jaan (a.s)Chalte Chalte Main Thak Gayi Hoon Baba Jaan (a.s)Pyaasi Ko Sab Ne Yun SatayaPaani Dikhaya Aur BahayaKya Kya Main Ne Saha (Aey Baba a.s)Nayze Se Amu (a.s) Ka Gira SarJab Shaam Walon Se Tarap KarMain Ne Kaha... Paani Mujhe... Do LaakarChalte Chalte Main Thak Gayi Hoon Baba Jaan (a.s)Baba Jaan (a.s)... Baba Jaan (a.s)Chalte Chalte Main Thak Gayi Hoon Baba Jaan (a.s)Darbaar Mein Manzar Jo DekhaZeeshan Woh Kaise Likhe GaAey Irfaan-e-Aza (Aey Baba a.s)Beti (s.a) Ne Ro Ke Jab Sada DiBaba (a.s) Ka Sar Godi Mein Uss KiAa Gaya... Kehti Rahi... Ro Ro KarChalte Chalte Main Thak Gayi Hoon Baba Jaan (a.s)Baba Jaan (a.s)... Baba Jaan (a.s)Chalte Chalte Main Thak Gayi Hoon Baba Jaan (a.s)
Baba Jaan
Irfan Haider · 2025
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.