Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Baba shaam aagaya

Waheed Rizvi · 2016

Baba.... Baba....Hogayi berida, waqt kaisa pada, sar khula hai merababa shaam aagayakaun hai ab mera, aye mere baba jaa'n, mai to hu bekhatababa shaam aagayaHogayi berida, waqt kaisa pada, sar khula hai merababa shaam aagaya1. Bekafan bhai ko chhod kar aagayibhai aisa ke tha jo meri zindagi..(2)jism karbal mein hai, aur naize pe sar, bhai bhi na rahababa shaam aagaya2. Aap ko hai khabar kitni hairaan hukis tarha jaungi mai pareshaan hu..(2)tegh hai har taraf, aur mai nange sar, aagayi beridababa shaam aagaya3. Kisse jaa kar bhala haal e dil mai kahubaba imdaad ko ab sadaa kisko du..(2)qatl rann mein hue, saare sher mere, jinka tha aasrababa shaam aagaya4. Dil ki hasrat thi jo puri ho na sakihaye akbar ki shadi na zainab ne ki..(2)ilteja ye suno, marr gaya naujawaa'n, dulha ban na sakababa shaam aagaya5. Ghairat e sayyada mai hu binte alimajma e aam mein hu mai kaise khadi..(2)dekh kar berida, kyu na bhai mera, khoon roye bhalababa shaam aagaya6. Qabr mein bhi na asghar ko sone diyabaad marne ke bhi uspe thi ye jafa..(2)phatt raha hai jigar, kaata zalim ne sar, ye ghazab hogayababa shaam aagaya

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.