Basta ba zanjeer[Basta ba zanjeer] ×2Jumla yateema haayAh hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateemaJaltay huwe ghar lutti ridaye(n) ah hussainakisko sadaa de kisko bulaye ah hussaina. Haay[Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema] ×2Eik zanjeer-e-sitam bara aseero kay galeUs pay ye hukm kay har peer-o- jawaan tez chalayEe sitam haay hussainaPusht pay partay rahe saath durron kay nishaan haay[Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema] ×2Eik beemar aseeron ka jo salaar banaThaame zanjeer sitam jaanib-e-darbaar chalaEe sitam haay hussainaRoya shabbir ka sar barsare nok-e-sina haay[Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema] ×2Dhoop say pyar hay saaye se sarokar nahiKoi baanu ki tarha bekaso ghamkhwar nahiEe sitam haay hussainaKaisay asgher kay binaa saye main jayengi maan haay[Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema] ×2Umm-e-laila ka jigar hogaya paara paaraUs nay dekha hay jawaan lal kay dil main naizaEe sitam haay hussainaMu ko ata hay jigar sunti hay jab bhi azaan[Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema] ×2Eik nawshah ki mayat ke bahattar tukreMaadare Qasim-e- muztar ki nazar say guzreEe sitam haay hussainaSar kahan jism kahan dil kahan haath kahaan haay[Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema] ×2Wo jo lashkar ka alamdar tha dast-e-shabbirBar lab-e-nehr likhi jis ne wafaa ki tahreerEe sitam haay hussainaWo nahi hai to nahi ab meray jism mein jaan haay[Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema] ×2Kaan zakhmi hai gala khushk jalaa hay damanSaans leyne nahi deti hai sakina ko rasanEe sitam haay hussainaNeend aati hai usay wo magar soye kaha haay[Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema] ×2Be ridayi ki aziyat ko uthane waaleHaay wo ale muhhamad kay gharaane waaleEe sitam haay hussainaApne is haal pay bhi kar nahi paaye fughaa[Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema] ×2Nauha "Rehan" aseeron ki zubaan main likh karIs qadar roya qalam ho gaya qirtaas bhi tarAy meri jaan hussainaFarshe majlis pay huwa qalbo jaan nauha kuna[Ah hussaina shahe shaheeda, bastaba zanjeer jumla yateema] ×2
Basta ba zanjeer
Shahid Baltistani · 2005
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.