Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Bazar Hai Pathar Hai Zainab Ka Khula Sar Hai

Nazim Party · 2007

Bazar hai pathar hain zainab ka khula sar haiHar zakhm pey shukrana zainab kay laboon per haiEk girya e khooni ki jaati hi nahi laaliSajjad ki ankhun ko daikha hi nahi khaliYa khoon hai ankhun main ya sham ka manzar haiLatka dar e koofa pey daikha hai koi lashaKyun ch'oub sy mehmil ki zainab nay hai sar maaraAy bakht lahuu sy kyun zainab ki jabeen tarr haiYeh shour e buka kiya hai matam ki sada kia haiTauheed bachae jo woh karb o bala kiya haiya hai sar e sarwar ya zainab teri chadar haiYeh sham e gareeban sy pur haul bayaban takBazaar sy kofa tak darbar sy zindaan takBeyreham tamachay hain aur shah ki dukhtar haiTakrati hai sar apna jae tu kahan jaeMasoom sakina ko ghash ae kay maut aeJiskay liye zindaan main bus khaak ka bistar haiWoh qal'b thay kaisay jo jan lay gae sarwar kiiPathar to woh hai jisnay pathar ki haya rakhiAe Sang e Halab tujhko kaisay kahuun pathar haikyun hai hussaina ka ik shour sa uthta haisar Ghazi ka naizay sy kyun khaak pey girta haiGhazi ki behan shayad balway main khulay sar haiMaqtal nay khuda janay kia ch'een lia iskaEk haath kaleejay per rehta hai dhara jiskaLagta hai mujhy shayd yeh madar e akbar haiEk karb o bala awal ek kar o bala akhirKehtay hai naveed usko shabbir jo hai zahirAur jo pas e parda hai woh zainab e muztar hai.

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.