Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Beti Ali ki

Miscellaneous · 1990

beti ali ki turbate zehra pe aayi haikurta lahoo bhara hua bhai ka laayi haikehti hai ay hussain ki amma utho uthozainab se karbala ka zara maajara sunoamma hamare ranjo masayab hai dard naakamma hamare qalbo jigar ho chuke hai chaakamma hamare nana ki ummat ne ki daghaamma hamare khoon ko samjhe hai sab rawankehti hai ay hussain....amma taras ke reh gaye pani ko ham tamaaamamma diya na humko kisi ne bhi ek jaamamma hamare mard tahay taygh hogayeamma nahake khoon may bechare sogayekehti hai ay hussain....amma pade hai nehr pe abbas rooth karamma sakina soti hai zindan may bepidaramma kahan se akbare mehru ko laaun maiamma kahan pe asghare nadan ko paaun maikehti hai ay hussain....amma wo mere auno mohammad mere pisarmaidane karbala may pade hai kata ke saramma lahoo may doob ke qasim bhi chal basayamma hassan ko moo na dikhane ke hum rahekehti hai ay hussain....amma hussain karbobala hi may rehgayeamma hussain saare masayab ko seh gayeamma hussain margaye beyaaro bewatanamma hussain ko na mayassar hua kafankehti hai ay hussain....amma hamari chadarein bhi chin gayi tamamamma hamare haal pe haste thay ehle shaamamma wo shaame ghurbate shabbir aah aahamma wo raat kaali wo sunsaan qatl gaahkehti hai ay hussain....amma ye haal abide bemaar hogayazaalim sipah ne leliya bistar ghareeb kaamma qadam qadam pe aseeri rulagayigardan may taukh paon may zanjeer aagayikehti hai ay hussain....amma wo bibiyo ka tadapna wo shoro shaynamma rahegi yaad wo aaho buka wo baynamma rabab roti hai asghar ko suboh shaamakbar ko yaad karti hai laila-e-tishna kaamkehti hai ay hussain....baazu ke neel dekhiye amma khuda gawahmaqtal ki gard bangayi absha khuda gawahamma ye bebasi ye qayamat ki bebasiamma hamare haal pe roti hai bekasikehti hai ay hussain....amma bataiye to mai ab jee ke kya karoonkis tarha ab hussain ki furqat ka gham sahoonaayi nida fughaan ke sare hashr ham bhi abkurta lahoo bhara hua rakhdenge peshe lab

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.