Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Beyridaa laasha e Gaazi(As) pey na jaana Zainab(Sa)

Anjuman E ZAINABIA · 2021

Boley shabbir jo paani kabhi paana ZainabFateha uspey sakina' ka dilaana ZainabBaad e aashoor my zinda na rahoonga Rann meyTum meri samt se kunbey ko bachaana ZainabKehdo baccho'n se madad karney meri aajaayeHai abhi laash e jawaa'n mujhko uthaana ZainabAag khaimo'n mey lagaayengey Layee'n jab aakarMerey beemaar ko sholo'n se bachaana ZainabLaasho'n ke dheyr mey gar seena agar mil na sakeyApney seeney pey sakina' ko sulaana ZainabEk tamaacha bhi na sehpaayegi bachi meriShimr se meri sakina' ko bachaana ZainabItni gairat hai ke uth uthkey kareyga giryaBeyridaa laasha e Gaazi pey na jaana ZainabLaash asgar ki agar dekhey to marjaayegi maaQabr beysheer ki tum chupkey banaana ZainabMeri mazloomi ka dunya ko khabar ho behnaFarsh yuu merey museebat ka bichaana ZainabKarbala aao to ye karna agar baad e rihaaMerey laashey pey kafan eak udhaana ZainabWo masaayab Karey kis tarha raqam *"Gaazi"* neyBoley shabbir mujhey bhool na jaana Zainab

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.