Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Bhaiyya Ali akbar

Nadeem Sarwar · 2014

Bhaiyya aliakbar, bhaiyya aliakbar..(4)Bhaiyya aliakbar, bhaiyya aliakbarSughra ne ye khat akbar ko likha, Kese ho mere pyaare bhaiyyaBichde hue arsa beet gaya, kab tak ye bahen dekhe rastaJab ghar ko parinde jaate hai,kya hum bhi tumhe yaad aate hai..(2)Lo qaside sughra ghar se chala, likha hai batao ae bhaiyyaAb tak na khayaal aaya mera, kya aisi hui hai mujhse khataKya aise rooth ke jaate hai, kya hum bhi tumhe yaad aate haiSab chod gaye hum ko tanha, kis haal me hu kya tumko pataBeemar ko de ab kaun dawa, ajao jo tum mai pau shifaJab chain se sab sojate hai, kya hum bhi tumhe yaad aate haiJab ba li sakina aur asghar, milte hai gale tumse haskarAur saath me ho maa aur padar, bus itna bata bhaiyya akbarSab ghar me haste hasate hai, kya hum bhi tumhe yaad aate haiJab jab bhi musalle par bhaiyya, karte ho namaze fajr adaBeemar ke haq me behre shifa, karte hai dua mere babaSab apne haath uthate hai, kya hum bhi tumhe yaad aate haiQasim jo sakina ko bhaiyya, deta hai  koi laakar tohfaDono se gale milkar baba, dete hai dua lekar bosaAur pyaar se sar sehlate hai, kya hum bhi tumhe yaad aate haiJab ghar me khushi ka ho saama, sab ek jagah ho peero jawaKhush dekhke sab ko ho amma, aajae koi ghar me mehmaJab dastarkhan bichate hai, kya hum bhi tumhe yaad aate haiHasrat hai tera sehra dekhu, majae tera matha chumuBate to bohot hai kya likhu, nadir hu bhaiyya kya bhejuEhbaab jo tohfe laate hai, kya hum bhi tumhe yaad aate haiJab zikr kabhi hota hoga, majae tumhare shadi kaKhush hongi sakina aur kubra, bandhega aliakbar sehraKhushiyo ke phool khilate hai, kya hum bhi tumhe yaad aate haiKya aur likhu kya batlau, dil cheer ke kaise dikhlauKhud aau ke tumko bulwau, bhaiyya mai tujhe kese pauBus tanha ashk bahate hai, kya hum bhi tumhe yaad aate haiQasid jo khate sughra laya, ek baap kamar thame tha khadaBhai ke labo par tha sughra, roro ke shanawar aur razaKhat sughra ka dohrate hai..Bhaiyya ali akbar, bhaiyya ali akbar..(2)

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.