Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Bibi Zehra ki hai rukhsati

Farhan · 2011

Ho mubarak tumhe ya nabi, bibi zehra ki hai rukhsatidoolha haider(a.s.) Bana zehra(s.a.) Dulhan baniho mubarak tumhay ya nabi(s.a.w.w)aaj zahra(s.a) ki hai rukhsatimubarak mubarak mubarak mubarakis kay chehray ka ghaza bani hai hayais kay mathey ka jhoomar hai alhamd kainnama iskay hathon ka kangan banadekhye tu guloo band hai kulkafakhalq may na mili aisi dulhan koiayaton say libase uroosi bananor chehray pay aya hai wal fajr kaor kalai ka zevar bani hai hal atagoshwaray muzzamil kay hain ba khuda(j.j)saj gayin fatima(s.a) parh kay nad-e-ali(a.s)aaj dharti falak say siwa hogayeyeh zameen ka muqaddar bhi dekhay koisab yahan agaye khuld khali huiaaj khair-un-nisa(s.a.) Aisi dulhan baniaisa dulha bana aaj haq(j.j.) Ka wali(a.s.)Aisa dulha kahan aisi dulhan kahanjin ki khushyun may shamil hain kon-0-makaa'njagmaganay lagi arsh per kehkashanchand denay laga aaj khud hi azaanmuskara kar sada yeh sitaroo'n nay dimomino kay liyay hai khushi ki khabargehma gehmi machi hai payamber(s.a.w.w) kay gharkhush hain salmano miqdaro boozar udharshadmani hai chehron pay sub kay magarjalnay walon kay dil per churi chal gaytehniyat ko chalay arsh say anmbyaa(a.s.)Aur mohammad(s.a.w.w) kay dar per kia jhamghataaakay jibraeel(a.s) nay arsh say yeh kahakeh raha hai khuda(j.j) ay habib-e-khuda(s.a.w.w)le kay baarat ko arahay hain ali(a.s)le kay barat sher-e-khuda aa gaylenay apni dulhan (s.a) murtaza (a.s) aa gaymilne haider (a.s) say sub anbiya (a.s) aa gaypeshwai ko khud mustafa (s.a.w.w) aa gaymara jibraeel(a.s),mara jibraeel(a.s) nar-e-haideryya aliiiiiiiiiiiiiiiiii (a.s)phir wo lamhe khushi kay qareeb aa gaymustafa (s.a.w.w) sikgha-e-aqd parhnay lagaykhud ba khud lafz saray qasidaye banaysub marhil bahusn o khushi tay howaymarzi-e-kibriya haq mehr ban gaiyegungunati fizah gungunati hawaagay agay barat kay hain anbiya (a.s)aur khadija (s.a) ne anchal ka saya kiakhum kay saghar chlaknay lagay jah bajahbeti (s.a) rukhsat howi ,ankh num ho gaikis qadr khus hain farhan o zill-e-razahaq-e-midhat bhi yun ho raha hai addaus (a.s) ki zojah (s.a) bani hai aaj khair-ul-nisa (s.a)jis ko kehtay hain sub mazhr-e-kibriyashor-e-sale allah mein howi rukhsati

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.