Azadari MediaAzadari MediaGet the app

chale aawo ay zawaaro chale aawo

Nadeem Sarwar · 2013

chale aawo ay zawaaro chale aawomeri aawaaz pe labbaik pukaare jaawolabbaik ya hussainnaam tum sab ke mere dil pe hain likhe aawoapne maa baap ko is paak safar me laawoapne bacchon ko bhi ehraame azaa pehnaawomere zawaaro meri karbobala aa jaawoehd karta hun azaadaaro shifaa'at ke liyeaawo zawaaro chale aawo ziyaarat ke liyechale aawokhush raho ay meri rudaa sunaane waaloapni khushion me mera sog manaane waalosaare aalam me mera farsh bichaane waalogarmi sardi me meri qabr pe aane waalomujhko maalum hai tum logon ki haajat aawotum pe ho jaayegi allah ki inaayat aawochale aawojaanibe karbobala jab koyi barhta hai qadamhar qadam par mere zawaar pe hota hai karamsaaya karta huwa abbas ka chalta hai qadammuntazir rehti hai zehra mere baba ki qasammere zawaaro mere dard ke maare aawomeri maa fatema zehra ke dulaaro aawochale aawotum jo kehte ho abad wallah ma ninsa hussainamma zehra bhi yahi karti hain ro ro kar bainmeri mazlumi pe roye hain shahe badr o honainmere baba bhi hain ab tak mere gham me be chaintum nahi bhule to mein bhi nahi bhula tum koyaad chalte huwe khanjar me bhi rakhta aawochale aawotum jo lehraate ho haathon me uthaaye parchamtum ko maalum hai ho jaata hai taaza mera ghamyaad aata hai mujhe khun me duba wo alamjis ke jhuk jaane se tuta mere bacchon pe sitammere abbas ki jaagir sajaane aawohaazri roza e abbas pe khaane aawochale aawomere zawaaro suno ye zameen karbobalamujhse pehle to yahaan koyi bhi bas na sakaaye zameen karbobala karb ka majmu'a haihazrate aadam o hawwa ka yahin girya haisher ne hazrate isaa ko yahin roka haiaur phir takhte sulaimaan yahin larza haiis zameen par ibraahim ka rahwaar dhasaapaa e musaa me lagi chot lahu behne lagazabihallah ke haivaan rahe pyaase yahaankashtiye nooh se takraaya yahin par tufaanis zameen par to pareshaan huwa har insaanmere baba bhi yahin karte rahe aah o fugaanmeri hijrat thi madine se hidaayat ke liyeye zameen maine kharidi thi shahaadat ke liyechale aawo ay zawaaro chale aawomeri aawaaz pe labbaik pukaare jaawolabbaik ya hussaindo moharram ko yahaan mera rahwaar rukasaath kunba tha mera mein akela bhi na thaaawo zawaaro mere saath chalothaam kar dil mera maqtal dekhoye maqaame ali akbar hai jahaanmere bacche pe jahaan royi azaanye maqaame ali asghar hai jahaanaaj bhi bethi huwi roti hai maanye jagaah wo hai mere zawaarolaashe qaasim huwi paamaal idhardo maqaamat jo aate hain nazarkate abbas ke baazu the idharhain zaraa door jo do dil ke qaraarhain mere aun o mohammad ke mazaarasre aashur se turbat ke qareehmera hur aur mera lashkar hai yahiaur ye tilla e zainabya haiyahi zainab ne ye manzar dekhamujh pe chalta huwa khanjar dekhamera aashur ya chehlum ho merakarbala aata hai kunba meraphir sakina jo yahaan aati haimeri turbat se lipat jaati haiya hussainmein hun hussainabde khudakhune nabikhune alikhune hasanzehra nasabshaahe arabmein hun ataamein hun shafaaehle azaaroze jazaadenge tumhelutf o karambaaghe irammein hun hussaintum pe salaame karbala maatamitum pe salaame shohada maatamitum pe salaame sayyada maatamitum pe salaame murtaza maatamitum pe salaame mustafa maatamitum pe salaame baawafa maatamitum ho dile zainabe kubra ka chainkehte raho kehte raho ya hussainsayyadena sayyadena ya hussain

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.