Hazaro gham ho gar tumhare sineMaza na aaye is jahan ke jine meSukoo'n mile na makka o madine meToh un Palo me sukoo'n dilati haiZamin e karbalaChalo hussainiyo tumhe bulati hai zamin e karbalaKoi jo khud ko haq parast kehta haiYazidiyat ki mehfilo me rehta haiRukhe talatum pe hamesha Behta haiNifaaq wala use batati haiZamin e karbalaChalo hussainiyo tumhe bulati hai zamin e karbalaLiye tha khud me karbala ke ban lasheSipaahe haq haye pur mahan lasheMuhafizaane dee'n ke bekafan lasheKe jinke sadqe kafan udhati haiZamin e karbalaChalo hussainiyo tumhe bulati hai zamin e karbalaZiyarato pe kafile jo jaate hainJo ishqe sheh me dast o paa'n katate hainKe jinpe aada zulm o jor dhaate hainToh unpe ashqe lahu bahati haiZamin e karbalaChalo hussainiyo tumhe bulati hai zamin e karbalaHum ahle baite mustafa ke shay dayiMahe aza me ghar ki yaad jab aayiJo gaon pohche bol uthi yeh purwayiHame watan ki zami dikhati haiZamin e karbalaChalo hussainiyo tumhe bulati hai zamin e karbalaAzaye sheh jo hind me manate hainHussain ko hum apne ghar bulate hainBahisht jaisa apna ghar sajate hainHussain aate hain yaqee dilati haiZamin e karbalaChalo hussainiyo tumhe bulati hai zamin e karbalaKhuda ka banda aasman par pohchaBulandiyo se nainawa ko jab dekhaZami pe aake har kisi ko batlayaZamin jannat si jagmagati haiZamin e karbalaChalo hussainiyo tumhe bulati hai zamin e karbalaBani jahan ki khaak hai Jo khaake shifaBana hai iski khoon ibne shere khudaMarizo aao paao ek pal me shifaHar ek marz ki dawa banati haiZamin e karbalaChalo hussainiyo tumhe bulati hai zamin e karbalaJahan se mar ke jaaye jab bhi shiraziKhudaya tujhse hai dua e shiraziKe karbala me qabr paaye shiraziSuna hai aasi ko bakshwati haiZamin e karbalaChalo hussainiyo tumhe bulati hai zamin e karbala
Chalo husainiyo tumhe bulati hai zameen e karbobala
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.