Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Chand nikla hai mahe aza ka

Chand Faizi Sankhnavi India · 2021

Ya khuda khair hoYa khuda khair hoKhair ho ya khuda..Chand nikla he maahe aza kaJisme ghar lut gaya fatima s.a kaYa khuda khair ho..Mustafa murtaza mujtaba kaMarsiya he ye ehle kisa kaChand nikla he maahe aza kaJisme ghar lut gaya fatima s.a kaYa khuda khair ho..1.momino phir safe gham bichaoApne sar pito aansu bahaoYe mahina he aaho buqa kaChand nikla he....2. Raston par sabeele lagayeAao pyaso ko paani pilayePaas rakhna he ahde wafa kaChand nikla he...3.kaifiyat u hui gham ki taariKhud ba khud ho gaye ashk jaariZikr ju hi chidha karbala kaChand nikla he....4.chand dekhe na zehra ki jaayiYaad aa jaye na usko bhaiDum nikal jayega ghamzada kaChand nikla he...5.Aasma gir na jaye zamee parBich gaya farshe gham aaj ghar gharZikr lab par he shahe huda kaChand nikla he.....6.maangti thin ye fizza duaeinWo salamat rahein aaj maaeinKoh jinpar gira tha jafa kaChand nikla he....7.zabt kaise karein gham ke maareArsh par ro rahe hain sitareMarsiya padh ke ek berida kaChand nikla he....8.is se pehle moazzin azan deUmme laila ko koi sambhaleGham he hum surate mustafa kaChand nikla he....9.rakh ke asghar ki yaadein rida meHath lehra rahi thin hawa mePhat na jaaye jigar maamta kaChand nikla he...10.milke asif karein nauhakhwaniHaq ada kuch to ho chand faiziNauha arif padho sayyada kaChand nikla he...

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.