Chingayi chadar meri aap the bhaiya kahanAye mere bhayiKehti thi binte Ali aap the bhaiya kahan aye mere bhai1. Shame gharibaan me jafa hogai ghaziRoti rahi haidare karar ki betiAhle jafa khaime jalaate rahe ghaziAake na ghurbat me kisi be bhi madad kiBadhti rahi bekasi aap the bhaiya kahanAye mere bhaayi2. Gham ki ghadi kaisi ye qismat ne dikhaayiDasht me deti thi behan gham se duhaayiGhurbate shabir pr roti thi khudaayiLaash zayeefi me jab akbar ki uthaayiGir pade sibte nabi aap the bhaiya kahanAye mere bhaayi3. Aale payambar ki buka goonji faza meShor khushi ka tha bahut ahle jafa meAur izaafa hua zehra ki azaa meSookha gala sheh ka kata karbobala meChalti rahi jab churi aap the bhaiya kahanAye mere bhayi4. Hamse chudaya gaya afsos watan bhiAise luta fathima zehra ka chaman bhiLashaye sarwar raha begore kafan bhiBaandhi gayi haathon me khwahar ke rasan bhiHamko aseeri mili aap the bhaiya kahanAye mere bhayi5. Har ghadi pardes me badhte rahe sadmeKhaya na thoda bhi taras ahle sitam neLagte rahe baali sakina ko tamacheNeela hua chehra anghooti ke nishaan seZulm ki had hogayi aap the bhaiya kahanAye mere bhaayi6. Zulmo sitam yun bada tapte hue ban meKoi madadgaar nahi ranjo mehan meRukti hai saansen hain izaafa hai ghutan meBaandhe gaye baara gale ek rasan meRoti thi aale nabi aap the bhaiya kahanAye mere bhayi7. Zulmo sitam dhaa ke sataya gaya mujhkoAalame ghurbat me rulaaya gaya mukhkoKoofe ki galiyon me phiraya gaya mujhkoJab sare darbaar bulaaya gaya mukhkoMere liye mouth thi aap the bhaiya kahanAye mere bhaayi8. Mir Hilaal aale payambar me tha mehshar,Chalta tha har dil pe ghamo ranj ka khanjar,Dekh ke abbase dilawar ka kata sar,Peet ke sar kehti thi jab dukhtare haider,Lut gayi dunya meri aap the bhaiya kahanAye mere bhaayi
Chingayi Chadar Meri Aap The Bhaiya Kahan
Mir Rehan Abbas · 2023
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.