Jaise Jale Shabbir Ke Khaime Waise Dar e ZahraKyun Na Karein Phir Ahle Aza Har Majlis Mein NohaDar e Zahra Jalaya Ja Raha HaiYe Pehli Karbala HaiNabi Ka Dil Dukhaya Ja Raha Hai1.Nabi Tazeem Mein Jiski Khade HonLaqab Allah Ne Jisko Diye HonWoh Jiski Betiyan Hon ShahzadiPisar Hasnain Se Jisko Mile HonUse Kitna Sataya Ja Raha HaiYe Pehli Karbala Hai2.Nabi Ke Baad Ye Aaya ZamanaMuseebat Mein Hai Zahra Ka GharanaKoi Kehta Hai Darwaza Jala DoKoi Dikhla Raha Hai TaziyanaYe Jo Manzar Dikhaya Ja Raha HaiYe Pehli Karbala Hai3.Sabhi Qasmein Sabhi Waade Bhula KeAli Ko Ghar Mein Hi Qaidi Bana KeSar e Darbar Zahra Ko Bula KePisar Ke Saamne Durre Laga KeTamacha Bhi Lagaya Ja Raha HaiYe Pehli Karbala Hai4.Jafakaron Ka Ye Sardar BolaAli Ko Ghar Se Bahar Lao ZahraAgar Baiat Nahi Karte HamariJala Denge Abhi Hum Ghar TumharaSitam Zahra Pe Dhaya Ja Raha HaiYe Pehli Karbala Hai5.Hirasaan Hain Haram Mahve Buka HainPisar Bhi Maa Ke Gham Mein Mubtala HainLaeen Achhi Tarah Ye Jaante HainKe Darwaze Ke Peechhe Sayyida HainTabhi To Dar Giraya Ja Raha HaiYe Pehli Karbala Hai6.Gira Jalta Hua Dar Pasliyon ParJuda Maa Se Hua Mohsin Gule TarShikasta Kar Diya Zahra Ka PehluKaha Zahra Ne Zakhmi Haath Utha KarLahoo Mera Bahaya Ja Raha HaiYe Pehli Karbala Hai7.Yahi Hai Mesum o Mazhar Ka NohaSitam Is Se Bada Kya Aur HogaWoh Bibi Paak Woh Umm e AbihaKhuda Ne Jisko Siddiqa Kaha ThaUse Jhoota Banaya Ja Raha HaiYe Pehli Karbala HaiYa Zahra (sa) 💔
Dar e Zahra
Meesum Abbas · Poet: Mazher Abidi
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.