Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Dard-e-jigar

Farhan · 2002

Dard-e-jigar[Amman Mein Aai Hoon Amman Mein Aai Hoon] ×2Teri Qabr-e-Peh Amman(s.a.) Dard-e-Jigar SunaaonYeh Khoon Bhara Kurta Kaisay Tujhay Dikhaaon[Amman Mein Aai Hoon Amman Mein Aai Hoon] ×2Amman(s.a.) Yeh Aik Kurta Samaan Mein Bacha HaiAmman(s.a.) Meray Akhi Ka Kurta Lahoo Bhara HaiMarqad Mein Is Ko Rakh Lo Soghaat-e-Shaam SamjhoTum Is Ko Piyar Karlo Aankhon Say Mein Lagaaon[Amman Mein Aai Hoon Amman Mein Aai Hoon] ×2Amman(s.a.) Libaas-e-Kohna Manga Tha Jab Akhi NayAmman(s.a.) Mujhay Tha Maara Us Waqt Zindagi NayMein To Samajh Gai Thi Marnay Chala Hai Bhai(a.s.)Woh Dastaan Sunakar Mein Khud Hi Mar Na Jaaon[Amman Mein Aai Hoon Amman Mein Aai Hoon] ×2Amman(s.a.) Tera Gulshan Karbobala Mein UjrhaAmman(s.a.) Tera Kunba Seh Roz Raha PiyasaKhaimay Jalay Hain Amman(s.a.) Looti Gaein RidaenMain(s.a.) Dastaan Safar Ki Kia Kia Tujhay Bataon[Amman Mein Aai Hoon Amman Mein Aai Hoon] ×2Amman(s.a.) Meri Rida Ka Zamin Jo Eik Jari ThaAmman(s.a.) Woh Mera Bhaiyya(a.s.) Jo Aks-e-Haidery(a.s.) ThaBaazoo Qalam Tha Usk Ka Ghum Ko Bhi Ghum Tha Us KaUs Khoon Bharay Alam Ko Palkon Peh Mein Uthaon[Amman Mein Aai Hoon Amman Mein Aai Hoon] ×2Amman(s.a.) Woh Shaam Walay Nana(s.a.w.w.) Kay Ummati WohAmman(s.a.) Qasam Khuda Ki Thay Is Qadar Shaqi WohBachchon Peh Zulm Kar Kay Khushian Mana Rahay ThayRahon Mein Marnay Walay Bachchay Kahan Say Laaon[Amman Mein Aai Hoon Amman Mein Aai Hoon] ×2Amman(s.a.) Tumhari Beti(s.a.) Woh Kaam Kar Kay AaiAmman(s.a.) Wahan Bhi Mein Nay Farsh-e-Aza BichaaiKehtay Hain Jis Ko Zindaan Us Ki Zamin Thi HairaanKhud Keh Keh Raha Tha Zindan Farsh-e-Aza Bichaaon[Amman Mein Aai Hoon Amman Mein Aai Hoon] ×2Amman(s.a.) Ridaen Sar Say Cheni Gaein HamariAmman(s.a.) Safar Ki Khatir Be Parda Thi AmariPathar Baras Rahay Thay Sar Say Lahoo Tha JariHaal-e-Safar Sunakar Ab Kia Tumhein Rulaaon[Amman Mein Aai Hoon Amman Mein Aai Hoon] ×2Amman(s.a.) Mein Shaam Jakar Zinda Rahi Hoon KaisayAmman(s.a.) Safar Ki Sakhti Zahir Hai Bazoon SayBazoo Peh Jo Nishan Hain Soghat Hain Safar KiChehray Ki Gard Apnay Kis Tarha Say Chupaaon[Amman Mein Aai Hoon Amman Mein Aai Hoon] ×2Amman(s.a.) Main Thak Gai Hoon Seenay Say Ab LagaaloAmman(s.a.) Mujhay Khudara Pehloo Mein Tum SulaaloTukhrhay Jigar Hai Mera Kaisa Safar Hai MeraTum Hi Bataao Amman(s.a.) Kab Tak Main Chalti Jaaon[Amman Mein Aai Hoon Amman Mein Aai Hoon] ×2

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.