Darmian lashon ke maqtal may khari hay ZainabIs andharay may kisay dhond rahi hay Zainab1) Sab ki nazrain hain chamaktay huay khanjar ki tarafBhai ka khusk gala dekh rahi hay ZainabDarmian lashon ke maqtal may khari hay Zainab2) Hath utha kar karoon kis tarha se lashon ko salamHath rassi may bandhay hay khari hay ZainabDarmian lashon ke maqtal may khari hay Zainab3) Chor kar bhai ko maqtal se ho rukhsat kaisayLash uthi hay phir uth ke giri hay ZainabDarmian lashon ke maqtal may khari hay Zainab4) Sheh pe chaltay huay khanjar ko bhala kia maloomKis tarha khak pe ghash kha ke giri hay ZainabDarmian lashon ke maqtal may khari hay Zainab5) Teray sar par yeh na nilay nikaltay dam takTeray balon may jo yeh khak pari hay ZainabDarmian lashon ke maqtal may khari hay Zainab6) Din ki dhop aah gaye aur raat ki oos aa bi gayeSaj raha hay ab bhi darbar khari hay ZainabDarmian lashon ke maqtal may khari hay Zainab7) Deen bachanay ke liye ghar se jo nikli thi NavedBach gaya deen magar kaisay luti hay ZainabDarmian lashon ke maqtal may khari hay Zainab
Darmian lashon ke maqtal may khari hay Zainab
Waseem ul Hasan · 1990
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.