Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Dil ba dil

Meesum Abbas · 2019

Maula...(3)Na jaane kyu jo Moharram ki fiza chhaane lageDhadkane dil se bhi matam ki sada aane lageDil ba dil, Sina ba Sina, yeh Aza abaad rahe...(2)Yeh Dua e Sayyeda hain, yeh dua abaad raheDil ba dil, Sina ba Sina, yeh Aza abaad rahe....(2)(1) Chahte ho tum agar Kaaba rahe abaad toh...(2)Yeh dua karte raho ke Karbala abaad raheDil ba dil, Sina ba Sina, yeh Aza abaad rahe...(2)(2) Hain dawa har marz ki Shabbir ke qadmon ki khaak...(2)Khaak e Paaye Shah e Deen Khaak e Shifa abaad raheDil ba dil, Sina ba Sina, yeh Aza abaad rahe...(2)(3) Muntaqil mujhse mere bacchon me ho Sheh ki Aza....(2)Nasl me Meri Aza ka silsila abaad raheDil ba dil, Sina ba Sina, yeh aza abaad rahe...(2)(4) Yeh Sabeelein Yeh Azakhanein, Juloos o Majlisein....(2)Yeh Salaam o Marsiya, Nauha sada abaad raheDil ba dil, Sina ba Sina, yeh aza abaad rahe.. (2)(5) Padhke Quran nok e neza par kaha Shabbir ne ....(2)Hum rahein ya na rahein, Zikr e Khuda abaad raheDil ba dil, Sina ba Sina, yeh aza abaad rahe...(2)(6) Ahl e Matam zakhme Abid yaad rakhne ke liye..(2)Matam e Zanjeer ki har dam sada abaad raheDil ba dil, Sina ba Sina, yeh aza abaad rahe...(2)(7) Hain wafadar e Sakina jo uthate Hain alam...(2)Ta Qayamat unke dil me yeh wafa abaad raheDil ba dil, Sina ba Sina, yeh Aza abaad rahe....(2)(8) Nauhakhwani Nauhagoyi hain ata Shabbir ki...(2)Mesum o Salman par bhi yeh ata abaad raheDil ba dil, Sina ba Sina, yeh Aza abaad rahe...(2)Yeh Aza abaad rahe...(2)Maula...

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.