Hussain... hussain.... hussainKya puchte ho ehle azaaHaye kya karu bayaa'nMai zakir e hussain huAur ek nauha khwaa'nAaya hu karbala se basad ranj aur fughaa'nKoi kare sawaal ye aansu hai kyu rawaa'nDil karbala mein reh gayaMai aagaya yaha'nYeh dil bina hussain ke..(2)Aaye sukoo kaha'nDil karbala mein reh gayaMai aagaya yaha'n1. Naam e hussain kafi tha rone ke waasteEk ek qadam rulati hai yu karbala mujhePehle mai khaimagaah e hussaini pe ruk gaya..(2)Yaad aagaya ke ek bahan yaa thi nauha khaa'nGhurbat mein qatl hogaya mazloom be watanMai bhai bhai kehti thi laasha bahan bahanMai bhai bhao kehti thi laasha bahan bahan..(2)Dil karbala mein reh gayaMai aagaya yaha'n2. Nikla mai uske baad khayam e hussain seAasar thodi door the qatl e yadain keDekha muqam e baazu bureeda mai ro diya..(2)Kaise pukara hoga wafao ka aasma'nMere haath nahi hai, mere haath nahi hai..(2)Dil karbala mein reh gayaMai aagaya yaha'n3. Nazdeek tha maqam e ali akbar e jawa'nGirya kuna thi sehra liye kal bhi bibiya'nAawaz ek fizao'n mein dil ko hilati thi..(2)Baba mile to kehna ke kehta tha ek jawa'nHai jaan ab labo'n par barchhi na khechnaBole pidar se akbar barchi na khechnaDil karbala mein reh gayaMai aagaya yaha'n4. Gehwara ek choti imarat mein tha rakhaGehware mein shaluka tha ek khoon mein bharaGehwara choom choom ke de de ke loriya'nLagta tha keh rahi ho hussain o hasan ki maaMaa qurbaan asgar jaan aajaoDil karbala mein reh gayaMai aagaya yaha'n5. Han wo muqaam jo ke zamee'n se buland thaBeti ali o zehra ki pohchi basad bukaDekhi jo chalte gardan e shabbir par churi..(2)Zainab pukari baba ghazab hogaya yaha'nZainab lipat ke baap se deti rahi sadaaSattar (70 ) qadam ka faasla bhai bahan mein tha..(2)Dil karbala mein reh gayaMai aagaya yaha'n6. Jannat nisha hai aaj bhi roza hussain kaMaqsood e kayenaat hai baba hussain kaItne ameer baap ke bete ne kyu kaha..(2)Faryaad kar rhi ho jo sukhi hui zubaa'nAmma ghareeb hu mai, amma ghareeb hu mai..(2)Dil karbala mein reh gayaMai aagaya yaha'n7. Manzar bada ajeeb tha rehan aur razaMaqtal ki simt jaane lage shah e karbalaAur neend se sakina ke chehre pe warm tha..(2)Godi mein leke sheh ne kaha ab na ho fughaa'nMeri sakina ko neend aa rhi hai..(2)
Dil karbala mein reh gaya
Syed Raza Abbas Zaidi · 2019
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.