Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Ek diya qabr e sakina

Khurshid asri · 2010

Shaam walo se ye abid ne kaha roro karek diya qabr e sakina pe jalana aakarhoga ehsaan bohot aapka bhai humparek diya qabr e sakina pe jalana aakar1. Ye wo hai arsh ke paalo ne jise paala hai..(2)noor zaadi hai ujalo ne ise paala hai..(2)isne dekhe the kaha shaam ke aise manzarek diya qabr e sakina pe jalana aakar2. Dil ki dhadkan ise shabbir ki sab kehte the..(2)saath me akbar o abbas sada rehte the..(2)iske chehre se kabhi hat ti na thi meri nazarek diya qabr e sakina pe jalana aakar3. Dekhke ghar me andhero ko ye ghabrati thi..(2)sunke aahat ye hawao ki bhi darr jati thi..(2)aaj tak ye na rahi thi kabhi tanha ghar parek diya qabr e sakina pe jalana aakar4. Konsa pyaar tha isne jo na paaya bhai..(2)isko hooro ne bhi godi me khilaya bhai..(2)pyaar se isko sabhi kehte the jaan e madarek diya qabr e sakina pe jalana aakar5. Phool ki tarha hamesha hi rahi haatho me..(2)dus moharram se nahi soyi thi ye raato me..(2)so bhi jaati thi to uth jaati thi darr kar khwaharek diya qabr e sakina pe jalana aakar6. Ye kabhi soyi nahi baap ke seene ke siwa..(2)din me har waqt liye rehte the godi me chacha..(2)padhti thi saath me phupiyo ke namaz e aksarek diya qabr e sakina pe jalana aakar7. Aunga laut ke roze ko banane ke liye..(2)dil nahi chahta hargiz mera jane ke liye..(2)kya karu hukm e mashiyat se hu majboor magarek diya qabr e sakina pe jalana aakar8. Sar khule saare aseero ke barabar hi rahi..(2)baap ke sar ko kabhi dekhti thi mujhko kabhi..(2)haath rakh leti thi apne kabhi rukhsaro parek diya qabr e sakina pe jalana aakar9. Shaam walo tumhe nana ki risalat ki qasam..(2)kijiyo bekaso mazloom pe bus itna karam..(2)al gharaz sayyad e sajjad chale ye kehkarek diya qabr e sakina pe jalana aakar10. Tumne khurshid ki tarah jo padha hai ash'ar..(2)noha gulshan ne likha sabne suna ro ro kar..(2)hind se shaam bulaegi tumhe jab khwaharek diya qabr e sakina pe jalana aakar

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.