Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Ek kafela laya tha mein

Irfan Haider · 2001

Ek kafela laya tha meinSula hai kabr mai besheer ko husaini ghareeb,Har ek shaheed ke lashe pe aaye hai rote huwe,Labe husain se suye falak aayi sadaa[Ek kafela laya tha mein] ×3Us kafele mein tha ali akber sa ek beta jawaan,Abbas jesa bhayi tha,[Masum asgher be zubaan] ×2Kuch bibiya thi saath mein mehshar mein jinka naam tha[Ek kafela laya tha mein] ×3Ye kafela kaise luta ye soch ke mai ro diya,Pala tha jinko naaz se,(karbobala mein kho diya),Un sab ke laashe samne the aur hoto par buka[Ek kafela laya tha mein] ×3Karyal jawaan ki laash hatho par uthayi hai abhi,Ek be zuban ki kabr bhi,[Maine banayi hai abhi] ×2Samaan mere katl ka karte hai ab ye ashkiya[Ek kafela laya tha mein] ×3Pyase mere atfaal hai behta hai darya samne,Ek be watan ko dasht mein,[Luta hai foje shaam ne] ×2Roti hai mere chah ne waalo ke laasho par kazaa[Ek kafela laya tha mein] ×3Kismat meri laykar muje karbobala tak agayi,Ab barte barte bat[Zainab ki rida tak agayi] ×2Ho jawoonga mein katl to chinjayegi uski rida[Ek kafela laya tha mein] ×3Kuch der mein kanjar laeen ka halk par chal jayenga,Aur baad mere khaym-e[Sadaat bhi jal jaayenga] ×2Ya yu koi pardes mein aa kar lootaye karbela[Ek kafela laya tha mein] ×3Jab katl mein ho jawoonga shaame ghariba ayengi,Saydaniyo ke kalb pe,[taaza kayamat dhayengi] ×2us waqt uthengi meri laashe buridaa se sadaa[Ek kafela laya tha mein] ×3lashe sabhi rehjayengi jalti zamin par bekafan,kaydi banengi mustufa[ki aal pabandhe rasan] ×2Raho mein rota jayenga bimar ye karke buka[Ek kafela laya tha mein] ×3Reh jayengi bali sakina ki fugaa zindan mein,Kaydi rahengi saal bhar,[saydaniya zindan mein] ×2sajaad mera kayd se jayenga ye kehte huwa.

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.