Azadari MediaAzadari MediaGet the app

faatahe lashkar ali ali

Farhan · 2013

allah allahhayya ala khairil amalhar gustaakhe rasul ko dunya se ham mitaayengehar gustaakhe ehle bayt ko dunya se ham mitaayengejo ali ka nahin wo nabi ka nahinjo nabi ka nahin wo khuda ka nahinjo khuda ka nahin wo kisi ka nahinhai dil me hamaare ishqe alihai dil me hamaare ishqe nabihar dushmane aale mohammadeilaan hamaara sun leham ko maalum hai maqtal se guzarna kya hairuh zinda hai to phir jism ka marna kya haibaad az marg hame ishq rakhega zindakar liya ishq to phir maut se darna kiya haiseenon me shauqe shahaadat basaa kehaathon me ghaazi ka parcham utha kepaighaam dete huwe karbala kebarhte rahein zulmaton ko mitaa kezindagi ko waqf karke hussain ke naambas ek naara ho wirde zabaanbarhhta rahe kaarwaan jiyo hussaini jawaanhai mire kaarwaanfaatahe lashkar ya ali ya ali maula alihal min naasirin yan suranaham noha khwaan aur iraade hamaaretalwaar hainek do nahin balke saare ke saaremukhtaar hainnauhe ke alfaaz denge gawaahiham hain imaame zamaan ke sipaahijurrat me meesum wilaayat ke raahithhokar me rakhte hain ham takhte shaahikaafi hai bas sayyada ki duaa himil ke bolein saare momin peer o jawaandaste karam ho imaame zamaanlaashe uthaaye uthaate rahengemajlis me jaate hain jaate rahengetufaan to aate hain aate rahengeham apni himmat barhhaate rahengeghar lute ya jaan jaaye khuda ki qasamdete rahenge yehi ham azaanhayya ala khairil amalmaula imaam hussain (as) farmaate hainagar zindagi ka ikhtetaam maut par hi haito us ka behtareen intekhaab shahaadat haiwirsa hai hamaara shahaadatshahaadat shahaadatkehte hain jise ham saaadatsaaadat saaadatkaram hussain ka mujh par mazeed hojaayemarun to lehed me maula ki deed hojaayeajeeb jazba haiajeeb jazba hai har maan duaayein karti haikhuda kare mera bachha shaheed hojaayeay maankhuch khauf nahin ab mujhe izzat me kami kashajra hai khuda rakhe hussaini hassani kalikh dena kafan par mere bas tum ali waariskhud qabr samajh jaayegi banda hun ali kashaheed zinda haishaheed zinda haishaheed qabr ki jaanib chala to aise chaladil me haider ki wila mun pe male khaake shifasaath maatam ke nishaan aur shahaadat naamajab huwa qabr me daakhil to ye manzar dekhamisle gulshan ke tar o taaza nazar aati haiqabr to khuld ka darwaaza nazar aati haishaheed zinda haishaheed zinda haidi nida haatife ghaibi ne ke ab ho hoshyaarmurtaza qabr me aate hain basad izz o wiqaarmeri turbat me ajab tarha ki aayi hai bahaarkya haseen maut hai is maut pe so zeest nisaarmera mola meri turbat me chala aaya haiasl me ab mujhe marne ka maza aaya haishaheed zindah haishaheed zindah haiay ehle jahaan socho to zarahai fikr ki jaa rone ki fazaajab apna koyi marjaata haikarbal ka kafan wo paata haiehbaab o aziz aur dost sabhirone ke liye aa jaate hainkis shaan se apne pyaaron kimayyat ko sabhi dafnaate hainafsos magar zehra ka pisarya hussain ya hussainya hussain ya hussainafsos magar zehra ka pisarchaalis dinon tak be sar thaus laashe pe sadqe kaun o makaanna kafan mila na dafn huwahaayehad huwa karti hai har zulm ke afsaane kizulm sehne ki sitam sehne ki gham khaane kikalma goyo yehi ek baat hai rulwaane kirasm hai saare musalmaanon me dafnaane kipar mohammad ke nawaase ko kafan bhi na milarone ke liye kaafi hai ay mazhar o farhaanpaaya kafan shaheedon ne aur dafn ka saamaanpar mohammad ke nawaase ko kafan bhi na milahussain mola hussain mola

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.