Azadari MediaAzadari Media

Fatima Darbar Mein

Turab Ali Chaudhary · Poet: Munawar

Listen to this nauhaPlay the audio with lyrics
Sar Jhukaye Ro Rahi Hain Fatima-e-Darbar MeinKaun Hai Jo De Dilaasa Majma-e-Aghyar MeinCheen Ke Baagh-e-Fadak Zahra Ko Jhutlaya GayaMajme Mein Na-Mahramon Ke Haaye Bulwaya GayaReh Gaya Gham Qalb-e-Binte Ahmad-e-Mukhtar MeinUthte The Jiske Liye Masnad Se Apni Khud NabiBaithe Hain Saare Musalman, Bint-e-Ahmad Hain KhadiSayyida Par Zulm Ye Kya Ho Gaya Darbar MeinAag Thi, Sholay Bhadakte Aur Dhuan Tha Chaar SooAur Pas-e-Dar Ahle Baatil Kar Rahe The GuftaguGhurbat-e-Zahra Chhupi Hai Un Dar-o-Deewaar MeinZakhmi Pehlu Ko Chhupaati Thi Shahe Abrar SeShab Mein Roti Thi Woh Chhup Kar Haider-e-Karrar SeYeh Haqeeqat Thi Ayaan Bas Fiza-e-Ghar-Baar MeinPasliyon Ke Tootne Se Thi Aziyyat Dam-Ba-Dam"Ya Ali" Keh Kar Ke Zahra Rakh Rahi Thin Har QadamSaans Bhi Lena Tha Mushkil Dard Aur Aazaar MeinDarmiyan-e-Ghusl-e-Mayyat Ro Ke Yeh Bole AliPasliyaan Tooti Hain Teri, Ae Nabi Ki LaadliKyun Chhupaaye Zakhm Mujh Se Manzil-e-Dushwaar MeinKhoon Hai Aankhon Se Jaari Ab Talak Is Baat ParHaaye Kya Guzre Masaib Maadar-e-Sadaat ParGhurbat-e-Zahra Raqam Kaise Karoon Ashaar MeinMain Parhoon Kaise Turaab, Ab Dil Bohot Maghmoom HaiKal Bhi Thi Mazloom Bibi, Aaj Bhi Mazloom HaiTurbat-e-Zahra Munawwar Ab Bhi Hai Aghyar Mein

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.