Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Ghabrayegi zainab

Shahid Baltistani · 2009

Ghabrayegi zainab – 2Bhayya tumhe ghar jake kaha, paayegi zainabGhabrayegi zainabGhabrayegi zainab – 4Pardes hai gurbat hai – 2kaha jayegi zainabGhabrayegi zainab – 41. Tum saniye zehra ki garibi ko samajnaGaazi ki kasam hai tumhe bhai na tadapnabeparda teri laash pe jab aayegi zainab2. Kis tarha guzarungi qayamat ka wo lamhajab shaame gariba me mera bhai na hogababa se nigahe na mila paayegi zainab3. Insaaf karo kaise behen dil ko sambhaleis gunj ka ehsaas muje maar na daalebaagi ki behen shaam me kehlayegi zainab4. Tum meri tarha gam ye akele hi sahogewada karo ye baat na bano se kahogezindaan me sakina ko jo dafnayegi zainab5. Dekhi nahi jaayengi wo mayoos nigahesughra jo use deti hai jine ki duayenAkbar ke bina jab bhi watan jaayegi zainab6. Kya kya hua bazar me batlaungi kaiseAbdullah – e – jafar ko mai samjaungi kaisejab nil rasan ke unhe dikhlayegi zainab7. Bhai pe nazar karke takallum wo pukaribhayya mai samajti hu tabiyat ko tumhariaccha ye sada lab pe nahi laayegi zainab

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.