Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Gham shahe shaheeda ka manana hi padega

Mir Hasan Mir · 2007

Gham shahe shaheeda ka manana hi padega..(2)soyi hui qismat ko jagana hi padegagham shahe shaheeda..Aise nahi manega meri baat zamana..(2)matam ke liye haath uthana hi padegasoyi hui qismat ko jagana hi padegaYe madar e eesa to nahi hai jo palat jaye..(2)kaabe ko naya darr to banana hi padegasoyi hui qismat ko jagana hi padegaShabbir ka ghum rakhlunga har cheez lutakar..(2)jeene ke liye kuch to bachana hi padegasoyi hui qismat ko jagana hi padegaJannat ki ghiza khane ki khwahish to waez..(2)majlis ka tabarruk tujhe khana hi padegasoyi hui qismat ko jagana hi padegaAbbas ko dekha to nusairi ne ye socha..(2)bus aaj to eemaan bachana hi padegasoyi hui qismat ko jagana hi padegaJo log fidak khake bane sahib e daulat..(2)un chehro ko aaina dikhana hi padegasoyi hui qismat ko jagana hi padegaIslam ke parcham ko bachana hai to waez..(2)Abbas ke parcham ko uthana hi padegasoyi hui qismat ko jagana hi padegaMaine to dare shaah pe sar rakh diya Yasir..(2)taqdeer ko ab auj pe jaana hi padegasoyi hui qismat ko jagana hi padegaGham shahe shaheeda ka manana hi padega..(2)soyi hui qismat ko jagana hi padega

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.