Azadari MediaAzadari Media

Ghar Ko Lutakar Deen Bachana

Mir Abid Ali Moosvi · Poet: Viqar Nagri

Listen to this nauhaPlay the audio with lyrics
Ghar Ko Luta Kar Deen Bachana, Sab Ke Bas Ki Baat Nahi,Sajda-e-Haq Mein Sar Ko Katana, Sab Ke Bas Ki Baat Nahi.Kaanp Raha Hai Azm-e-Khaleeli, Dang Hai Sabr-e-Ayyubi,Laashe Jawan Peeri Mein Uthana, Sab Ke Bas Ki Baat Nahi.Koi Ali Asghar Sa Mujahid, Hoto Zamana Pesh Kare,Teer Ki Zad Par Jhoolay Se Aana, Sab Ke Bas Ki Baat Nahi.Karbobala Ke Fateh-e-Azam, Tere Jigar Ka Kya Kehna,Ghar Ko Luta Kar Shehar Basana, Sab Ke Bas Ki Baat Nahi.Zor-e-Bayaan-e-Saniy-e-Zahra, Woh Bhi Ali Ke Lehje Mein,Qasr-e-Sitam Khutbon Se Hilana, Sab Ke Bas Ki Baat Nahi.Deen Ki Khatir Ghairat-e-Zainab, Yeh Bhi Gawara Karti Hai,Warna Bhare Darbar Mein Jana, Sab Ke Bas Ki Baat Nahi.Hukm-e-Khuda Se Eesa Ne Bhi, Di Hai Gawahi Jhoolay Se,Waada Magar Tifli Ka Nibhana, Sab Ke Bas Ki Baat Nahi.Uthti Hui Har Mauj Tujhe, Abbas Salami Deti Hai,Nehr Se Pyasa Laut Ke Aana, Sab Ke Bas Ki Baat Nahi.Ahle Aza Se Viqar O Abid, Islam Ki Azmat Baqi Hai,Matam-e-Sheh Mein Ashk Bahana, Sab Ke Bas Ki Baat Nahi.

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.