Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Ghar Say Jab Bahre Safar

Miscellaneous · 2014

1)    Ghar Se Jab Bahre Safer Syeda Alam NikleSar Jhukae Huve Badeedae Pur num NikleQuesho Farzand kamar baand kay baham NikleRokay Farmaya kay is Shaher se ab hum Nikle- JawabRaat Se Giryae Zehra ki sada aati haiDekhein Qismat Hamein kis dasht main lejati hai - Jawab2)    Ruq Kiya Shah ne sue qabre Shahinshae anamBahr Tasleem jhuike Muttasile babe salamIzn padkar jo gaye qabr ke nazdik ImamArz ki aaya hai aaj aakhri Ruksat kou Ghulam- JawabYea Makaan hum se ab ai shahe zaman choot tha hiaAaj Hazrat kay Nawase say watan choot tha hai – Jawab3)    Chaain Se Sub hai gharon main mujhe milta nahi chainSaqt aafat main hai ab apkaa ye noorul aainTukde dil hota hai jab rokay haram karte hai bainNanhay Bachcho kou bhala lekay kidhar jayea Hussain – JawabShahr mein Chain na Jungle main amaan milti haiDekhiyea Qabr musafir kou kahan milti hai – Jawab4)    Ab mere sar ke liye teiz hue hain khanjarAhle keen Shar pe kamar Bandhe Hain ya qaire basharAapne di thi isi roze ki Amma ko QabarWaleda roye thee do roz talak peet ke sar – JawabIs Nawase ko magar bhool n jana HazratZibha ke waqt madad karne ko aana Hazrat – Jawab5)    Yea who din hai kay parinde bhi nahien chordte GharMujh ko dar pesh hain in rozon main aafat ka safarHai kaheen Qatl ka Samaan kabhi  lut jaane ka darSaat hai bachon ka ay Badeshahhe Jinoo Bashar– JawabTang jeene se hoon paas apnay bulalo NaanaApani Turbat main Nawase kou Chipalo Nana – Jawab6)    Yea Bayan Karkay Jo Taveez Say Liptay SarwarYoun Hilli Qabr ke tharrai Zaree e anwarAayi turbat se ye awaazey habib –e dawarTeri Gurbat kay main Sadqe Meray Mazloom pisar– JawabKoyi samja na meri Gooud kaa Paala tujkoHai aada nae Madinay say Nikala Tujko. – Jawab7)    Aai Mere Gaysuon o wale mere Sabir ShabbirMere bekas mere Mazloom Musafir ShabbirNa Raha koye tera yawar o nasir ShabbirHai Ai gor –e-gareeba kay mujver shabbir – JawabTu jaahain Jayeaga Pyare wahin chalta Hoon mainKhaak Udataa huva Turbat say Nikalta Hoon Main – Jawab8)    Kayee din Say Teri Maadar kou Nahi qabr main ChainAaye thi Shab kou mera paas yea Karti huvi BainGhar mera Lut taa hai Faryaad Rasool us SaqlainSubha kou apan watan Chord ke Jaata hai Hussain– JawabKahne aayi hoon ke muh Qabr se modungi mainApnay Bache ko akela thou na Chodongi main – Jawab9)    Sunkey Yea Shah Nay Kiya aakhri Ruksat ka SalamNikle rote huve jab roza –e Anwar say ImamSheh Se usdam Yeh Kiya ro ro ke Zainab nay KalamQabr Par Maa ki Mujay Laychalo Ya Shahey anam – JawabLog Hamrah hai mahmihein kyou kar RoowoMaa ki turbat say phir ek baat lipat kar roowoh. – Jawab10)    Maa ki turbat pe gayea Shah ba chashme qoon baarUtri Mahmil se basad ah o fugahaan Zainabe ZaarDourd Kar Qabr Se Lipte Jo Imame AbraarHaat Zehra ke Lahad Se Nikal aayea Ek baar  – JawabAayi Aawaz Na Ro Dil ko Qalaq Hota haiQabr Hilti hai Kaleja mera Shaq Hota Hai – Jawab11)    Haan Bulawo Mera Abbas e-Dilawar hai KidharWo fida Hai mere Bache pe main sadqe UsparShikam e-ghair se hai par who wera hai pisarYea Sad sun ke biradar ko pukare Sarwar – JawabAbhi Rahwar ko aage na badhao BhaiYaad Farmati hai Amma idhar aawo bhai  – Jawab12)    Aake Abbas nay Sar Rakhdia Paeene MazaarAayi Zehra Ki Sada Mein Teri Gurbat Ke NisarApne Pyaron Ke Barabar Mein Tujhe Karti Hou PyarDhayaan Bhai ki Hifaazat ka rahe aai Dildaar  – JawabKohi Gurbat main Usay Maar na daale BaitaMera Shabbir Hai ub Teray Hawley Baita. – Jawab

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.