Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Ghareeb e zahra ka badan

Syed Raza Abbas Zaidi · 2022

Hussain.. Hussain.. HussainKiya hai paamal isko ran meinhai zakhm hi zakhm is badan meinnahi hai koi uthane walabohot akela hai is watan meinidhar ki sab pasliya'n udhar hai..(2)udhar ki sab pasliya'n idhar haiJo garm reti pe be-kafan haighareeb e zahra ka ye badan haiYe wo badan hai ke jiska seenahaan chumte the shah e madinabhara hai teero se haye ghurbatkaha pe soyegi ab sakinayehi woh seena hai jispe chadh kar..(2)laee'n ne kaata hussain ka sarJo garm reti pe be-kafan haighareeb e zahra ka ye badan haiHui thi woh jinki naal bandithe aam ghodo'n se aur waznijo ghode daude the is badan parkuchalna unki khususiyat thina jaane kis tarha maa ne dekha..(2)sumo ke niche ghareeb betaJo garm reti pe be-kafan haighareeb e zahra ka ye badan haiLaee'n wo bajdal(l.a), tha naam jiskasirhane jab is badan ke pohchaanguthi kis tarha loot ta wohtha zakhmi hatho'n pe warm itnana utri zalim se jab anguthi..(2)to kaat kar le gaya wo ungliJo garm reti pe be-kafan haighareeb e zahra ka ye badan haiAkela lakho'n se zakhm kha karye sogaya jab sitam utha karandhere ban mein isi badan sebehen ne patthar hataye aakarna jaane zainab ne kaise dekha..(2)ghareeb bhai ka zakhmi laashaJo garm reti pe be-kafan haighareeb e zahra ka ye badan haiSaro ko naizo pe jab chadhayasar ek chota sa mil na paayalaee'n ne naiza zamee'n pe maaratoh laasha asghar ka saath aayapidar ke zakhmi badan pe rakh kar..(2)chalaya nanhe gale pe khanjarJo garm reti pe be-kafan haighareeb e zahra ka ye badan haiPidar ke seene pe sone walijab is badan ke qareeb pohchiye aake shimr e laee'n ne dekhapidar se lipti hui hai betapakad ke baalo'n se jab chhudaya..(2)badan zamee'n par tadap raha thaJo garm reti pe be-kafan haighareeb e zahra ka ye badan haiHussain ki jab lahad pe janaraza o zeeshan yaad rakhnabichi hai turbat mein ek chatayiye dil ki aankho'n se dekh lenawahi yeh zakhmi badan rakha hai..(2)sagheer seene pe so raha hai

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.