Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Ghum E Husain(As)

Anjuman E ZAINABIA · 2021

Ghum e Husain ka jo Haqq tha wo adaa na kiyaaTerey Husain pey rorokey gulbapaa na kiyaa1) Faqat ye ashk hi marham hai terey zakhmo'n keJo zakhm bharsakey itna Magar bukaa na kiyaaTerey Husain pey rorokey gul bapaa na kiyaa2) Tamaam umr kiyaa maatam e Husain MagarYu lagrahaa hai ke humney kabhi bapaa na kiyaaTerey Husain pey rorokey gul bapaa na kiyaa3) Kaleyja' thaamkey akbar pey roye hai bibiMagar ye dil ko hai afsos dil phataa na kiyaaTerey Husain pey rorokey gul bapaa na kiyaa4) Masaayab e Ali Asgar sunaa jo majlis meyPhir uskey baad kabhi laal ki dua na kiyaaTerey Husain pey rorokey gul bapaa na kiyaa5) Wahab to jaan lutaadi hai shaah e waala parAur eak my hoon yahaa'n ashk tak Fidaa na kiyaaTerey Husain pey rorokey gul bapaa na kiyaa6) Sunaa hai haatho'n ko katwaadiya tera AbbasAur hum ye sunkey bhi maatam koii badaa na kiyaaTerey Husain pey rorokey gul bapaa na kiyaa7) Terey Husain ko 1900 unnees sau they zakhm lageyAur itney aansu bhi aankho'n se hum rawaa na kiyaaTerey Husain pey rorokey gul bapaa na kiyaa8) Muaaaf karna aye bibi ke is baras bhi humJo Haqq e Pursa' e Shabbir hai adaa na kiyaaTerey Husain pey rorokey gul bapaa na kiyaa9) Lagaaya logo'n ney paabandiya bohat *"Gaazi"*Namaaz e ishq e Husaini Magar qazaa na kiyaaTerey Husain pey rorokey gul bapaa na kiyaa

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.