Tahreer-E-Nabi (Sa) Ke Tukdon Ko, Ro Ro Ke Uthana Zahra (Sa) KaHasnain (as) Bhala Kaise Bhoolein, Jhutlaya Jana Zahra (sa) Ka.Roti Hai Mashiyat Bhi Unpar, Woh Bain Hai Haaye Hothon Par,Zahra (sa) Ki Judaai Par Haaye, Rota Hai Gharana Zahra (sa).Tahreer-e-Nabi (sa) Bhi Phad Di Gayi, Jhutlaya Gaya Siddiqah Ko,Zaalim Ne Tamaache Bhi Maare, Haq Cheen Ke Khaya Zahra (sa) Ka.Jab Yaad Use Maa Aati Hai, Baba Se Lipatkar Roti Hai,Bhoole Bhi Bhala Kaise Zainab (as), Nana Par Woh Rona Zahra (sa) Ka.Darwaza Jala, Mohsin (as) Na Raha, Rassi Hai Gale Mein Haider (as) Ke,Har Zulm Par Yun Hi Zaalim Ne, Dard Aur Badhaya Zahra (sa) Ka.Iss Baat Ka Gham Lekar Jeena, Marne Ke Barabar Lagta Tha,Darbaar Bulakar Zaalim Ne, Banwaya Tamasha Zahra (sa) Ka.Ummat Ne Diye Hain Dukh Itne, Balon Mein Safedi Aa Gayi,18 Baras Mein Zahir Hai, Dekho To Budhapa Zahra (sa) Ka.Haider (as) Hi Bataayenge Humko, Kaise Ho Bhala Yeh Dard Bayan,Allah! Yeh Kaisi Ghurbat Mein, Uttha Hai Janaza Zahra (sa) Ka.Dil Soch Ke Ab Phat’ta Hai Shakeel, Ummat Se Karo Sadiq Yeh Sawal,Jab Saare Musalman Haazir The, Dar Kisne Jalaya Zahra (sa) Ka?
Ghut Ghut Ke Rona Zehra sa Ka
Sadique Rizvi · Poet: Shakeel Kazmi · 1447
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.