Goonji Sada Hussain ki Abbas na rahaBazu shaheed hogaye mashkiza chid gayaGoonji Sada Hussain ki Abbas na raha..(2)1. Apni qamar ko thamke haider ka laadlaKhaime se qatl gaah ki taraf dekhta rahaZehra ke laadle ki nigahe tadap gayiJab zeen se zameen par Abbas gir gaya...2. Akbar mujhe sambhalo meri jaan ho kidharQasim zara si der ko aajao na idharAe dost mere ibne mazahir Karo nazarRasta mujhe furat ka aata nahi nazar..3. Lashkar kahan hai Mera alamdar hai kahanPucho kisi se Mera wafadar hai kahanAbbas ke bina yeh adhuri hai zindagiAe nainawa bata Mera ghumkhar hai kahan..4. Bazu nahi yeh saniye zehra ki Thi ridaIn Bazuo pe binte yadullah ka naaz thaZainab samajh gayi rukhe shabbir dekhar karAbbas na raha meri chin jayegi rida..5. Rokar sakina bibi ne kuza chupa diyaHar aas har umeed ko dil se mita diyaBoli chacha tumhari kasam pyaas Mar gayiBe saakta zameen par khud ko gira diya..6. Islam ki hayat ka saman kar gayaZaat e wafa par bawafa ehsaan kar gayaDariya me rehke paani ko laya na labor takBehti Huvi furat ko hairaan kar gaya7. Dashte bala me saniye zehra ne di sadaBaba Mera wo monis o yawar nahi rahaBinte Ali tadap ke musalle pe gir gayiSajde ke baad boli rida haye meri rida...
Goonji sada husain ki
Sayed Shabrez · 2014
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.