Hasab nasab hain hoon laasaniMushk o alam hain meri nishaniHai mere shaanon mein bhiQuwwat-e-YazdaniAgar karun darya ko isharaKhaimon mein aa jaye woh saraMere isharon par chalta hai darya ka paniLo jaan lo mujh ko, pehchan lo mujh koHaan main Abbas hoon, AbbasAyo Hanas, Ayo HanasHaan main Abbas hoon, haan main AbaasSun lo yeh ta’aruf meraMain beta hoon Haider kaSaqqa-e-Sakina mujh koKehti hai yeh saari duniyaMain bazu-e-Sarwar hoonGhairat ka samandar hoonKhud zaat mein lashkar hoonAyehnas AyehnasJab ghaiz mein waar karungaAisi yalghaar karungaEk laash ke do do tukrayPhir do ke chaar karungaMohlat hai sambhal jaoKasrat pe na itraoMat sher se takraoSalar hoon, Jarrar hoon, Haider hoon mainHaan main Abbas hoon, AbbasMain ne jo khat kheench diya hai paar karun to jaanunMujh se aa kar aankh milao phir main tum ko maanunSabaq wohi Siffeen ka tum ko phir se yaad dilaunPalat ke dharti, ulat ke daryaTum ko ghaiz dikhaunYeh tegh yeh khanjar kya haiBas dekh lo tewar kya haiPairon se masal doon dhartiNau lakh ka lashkar kya haiSar tan se uda doongaMitti mein mila doongaEk hashr macha doongaAyehnas Ayehnas haan main Abbas hoonHaan main AbbasMain cheen ke tum se daryaBhar loonga abhi mashkizaTum dekhte reh jaogeNa rok sako ge rastaJo keh doon woh karta hoonKab maut se main darta hoonHar baar yahi kehta hoonAyehnas Ayehnas haan main Abbas hoonHaan main AbbasEk aankh mein teer laga thaShabbir ne jab woh nikalaZaanu pe rakha jab sar koGhazi ne kiya yeh nauhaAankhon mein Sakina kaChehra hai mere AaqaAb kaise yeh bolungaAyo Hanas, haan main Abbas hoonHaan main AbbasWoh sher-e-wafa ka paikarJab qatl hua darya parKarti thin tarap kar ZainabYeh bain hi Meesum o MazharHo jaungi jab tanhaTab khoon rulaegaAe bhai tera kehnaAyo Hanas, haan main Abbas hoonHaan main Abbas
Haan Main Abbas Hun | Mesum Abbas | Noha 2026 | Noha Mola Abbas
Meesum Abbas · Poet: Mazhar Abidi
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.