Sayyada, tahera, raaziya, marziya..(2)Haan wo hai fatima..(4)Naazil dil e rasool par..(2) jo mojiza huaHaan wo hai fatima..(4)1. Charkha jo kaatti hai to burti hai aasmachakki jo peesti hai to chalta hai ye jahaanyu haath kibriya ka batati hai jo sadaHaan wo hai fatima..(3)2. Zehra ki azmato ko kya samjhega ye basharhasnain baagh e khuld ke sardaar hai magarjannat hasan husain ki..(2) hai jiske zere paaHaan wo hai fatima..(3)3. Qanoon e kibriya hai ye is kayenat meshauhar ka rizq likha hai zawja ke haath metehreer jiske haath me hai rizq e murtuzaHaan wo hai fatima..(3)4. Tanzeem e kaynat me haider ke saath thimitti khameer hazrat e adam se jo bachijisne usi khameer se..(2) hawwa ko di jilaHaan wo hai fatima..(3)5. Masoom ki hadees hai sab ko hai ye khabarchawda naqab e noor hai khaliq ke noor parpehla naqab jo hai rukhe kirdigaar kaHaan wo hai fatima..(3)6. Haq to yahi tha hota ta'arruf rasool serishte magar khuda ne ginaye batool sejiske liye nizam e..(2) mashiyat badal gayaHaan wo hai fatima..(3)7. Ismat ka rabb ne paas yu rakha kitab meaayat me bhi zikr kiya to hijaab mequr'an me jiska naam bhi khul kar nahi liyaHaan wo hai fatima..(3)8. Mangwa ke do libaase falak ikhteyaar sejisne hasan husain ki khwahish ke waasteaayaat lane wale ko..(2) darzi bana liyaHaan wo hai fatima..(3)9. Akbar ko noor e aale mohd ki hai qasamduniya me meer koi nahi usse mohtaramwo jiske ehteraam me uth te ho mustafaHaan wo hai fatima..(3)
Haan wo hai fatima
Mir Hasan Mir · 2009
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.