Haey Shaam[Shaam Haey Shaam Haey Shaam Haey Shaam] ×2[Haey Shaam Ki Galian Aaein Hai] ×2Naizon Peh Shahidon Kay Sar Hain Beemar(a.s.) Bhi Chalta Jaata Hai[Haey Shaam Ki Galian Aaein Hai] ×2Zanjeer Ulajh Kar Peron Say Kehti Hai Yeh Ghum Kay Maaron SayKuch Dair Mein Paththar BarseingayIs Shehr Kay Baala Khanon Say Sajjad(a.s.) Ka Dil Gharbrata Hai[Haey Shaam Ki Galian Aaein Hai] ×2Be Ghar Hain Musafir Bechadar Hai Kitni Aziyat Ka Yeh SafarBazoo Hain Bandhay Maan Behnon KaySar Baap(a.s.) Chacha(a.s.) Kay Khoon Mein Tar Beemar(a.s.) Bohat Sharmata Hai[Haey Shaam Ki Galian Aaein Hai] ×2Eik Rassi Hai Aur Bara Galay Yeh Qafla Aakhir Kaisay ChalayJalti Hai Zamin Kanton Say BhariRonay Lagay Peron Kay Chalay Khoon Zakhmon Say Rista Jata Hai[Haey Shaam Ki Galian Aaein Hai] ×2Kothon Peh Tamashai Hain Kharhay Aur Shaam Kay Baam-o-Dar Hain SajayUmmat Hai Nabi(s.a.w.w.) Ki Chaar TarafParhti Hai Nabi(s.a.w.w.) Zadi(s.a.) Khutbay Aur Ashk Falak Barsata Hai[Haey Shaam Ki Galian Aaein Hai] ×2Darbaar Ka Dar Nazdeek Aya Bazaar-e-Sitam Ab Khatm HuaKuch Dair Aseeron(a.s.) Ko RokoYeh Hukm-e-Yazidi Hai Aya Darbar Sajaya Jata Hai[Haey Shaam Ki Galian Aaein Hai] ×2Darbar-e-Sitam Ki Aaraish Aur Takht-e-Laen Ki ZebaishJab Hochuki Poori Tab JakarBadkar Nay Ki Yeh Farmaish Lo Jashn Manaya Jata Hai[Haey Shaam Ki Galian Aaein Hai] ×2Ba Parda Kanizein Baithi Hain Saidanian Saari Roti HainFizza(s.a.) Ko Banakar Jab PardaZehra(s.a.) Ki Betian(s.a.) Chupti Hain Sajjad Ko Ghash Ajata Hai[Haey Shaam Ki Galian Aaein Hai] ×2Zalim Nay Ajab Yeh Kaam Kia Zainab(s.a.) Ka Achanak Naam LiaGhabrakay Ali(a.s.) Ki Beti(s.a.) NayHaathon Say Jigar Ko Thaam Lia Abid(a.s.) Ko Jalal Aajata Hai[Haey Shaam Ki Galian Aaein Hai] ×2Zanjeer Chatakh Kar Toot Gai Beemar(a.s.) Nay Eik Angrhai Jo LiDarbar-e-Sitam Mein Shor UthaKia Aaj Najaf Say Aaey Ali(a.s.) Ya Waqt-e-Qayamat Aata Hai[Haey Shaam Ki Galian Aaein Hai] ×2Darbar Say Jab Zindan Mein Gaey Sajjad(a.s.) Phophi(s.a.) Say Kehnay LagayYeh Kaisa Andhera Zindan HaiYaan Zinda Raheingay Hum(a.s.) Kaisay Dil Mera Dooba Jata Hai[Haey Shaam Ki Galian Aaein Hai] ×2Zindaan Mein Sakina(s.a.) Nay Poocha Ghar Jaengay Hum(a.s.) Kis Din Bhaiyya(a.s.)Ya Aur Koi Baqi Hai SitamGhut Ta Hai Yahan To Dam Mera Ab Saans Ukharhta Jata Hai
Haey Shaam
Farhan · 2003
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.