Ya ali maula ali, maula ali..(2)Hai waqt e sahar khoon mein tar waris e qur'aan..(3)roti hai azaa'n masjid e kufa bhi hai giryaa1. Lo aaj se aghaaz hua karbobala kaMakhduma e kaunain ka jaari huwa giryamarqad mein Mohammad bhi nazar aaye pareshaa'n2. Kya zeher mein doobi hui shamsheer chali hailo zakhmi huwa sajdey mein damaad e nabi haiduniya se chala dekhiye kaabe ka nigehbaa'n3. Jibreel e amee'n khaak udaate huwe aayeAdam bhi yehi nauha sunate huwe aayekis ko dam e mushkil mein pukarega musalmaa'n4. Tu ne bine muljim(l.a.) ye sitam kaisa hai dhayasajde mein namazi ka lahu kyu hai bahayaAbbas ko bachpan mein kiya chaak girebaa'n5. Kaabe ki faseelo'n pe udaasi ki rida haiaur qibla e awwal mein bhi kohraam bapa haisar khuld mein huraan e jinaa ne kiya uryaa'n6. Hasnain ke sar par hai yateemi ka andherarukhsat huwa suraj ki nigaho'n se sawerazam zam mein talatum hai to kausar mein hai tufaa'n7. Rehan hai rizwan e jinaa chaak girebaa'nhai baagh e iram, baagh e fidak ki tarha giryaahasnain(a.s.) ka baba hai zara der ka mehmaa'n
Hai waqt e sahar khoon mein tar waris e qur'aan
Rizwan Zaidi · 2009
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.