Yeh kehte hain maqtal se, Ab bhi shahe abrarHaq baat pe mar jana, Ay mere azaadaarHalmin Nasirin Yansurna(4)Jaan gawa dena izzath na gawanaDekho mera sajda tum bhool na janaHaan tum he toh ho mere maqsad k alamdaarHalmin Nasirin Yansurna(2)Rakhna nigahon may abid ki aseeriHaathon may hathkadiyan aur paon may bediHona jo zamane ki musibat may giraftaarHalmin Nasirin Yansurna(2)Ro na jawanon tum akbar se jawan koBhool nahi jana awaz e azaan koBan jana zamane may islaam ka kirdarHalmin Nasirin Yansurna(2)Haye ye majboori haye ye gareebiBaap ne khud bete ki qabr banayiHilti thi zameen unki jab roti thi talwarHalmin Nasirin Yansurna(2)Rakhna hifazath may behnon ki ridaaeinTumko khuda baqshe uss sar ki wafaeinWoh sarke jo naize se gir jata tha har barHalmin Nasirin Yansurna(2)Samne abid k tha hashr ka manzarBalwe may zainab thi be maqna o chaadarTum bhul nahi jana woh shaam ka bazaarHalmin Nasirin Yansurna(2)Padhta hua nauha karta hua matamDard liye dil may aur haath may parchamYun ayega ghaibat se duniya ka nigehdaarHalmin Nasirin Yansurna(2)Shayar o zakir ho ay nayyar o amirHaan tum mere nasir ho ay nayyar o amirAbbas mera hoga tum sab ka madadgaarHalmin Nasirin Yansurna(2)
Halmin Nasirin Yansurna
Miscellaneous · 2014
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.