Hardard ka manzar haiHar dard ka manzar hai sajjad ki aankhon mei[Zainab ka khulla sar hai] ×2 sajjad ki aankhon meiMazloom akela tha aur chaaro taraf lashkarIs alame ghurbat mei shabbir ki gardan parChalta huwa khanjar hai sajjad ki aankhon meiHar dard ka manzar hai sajjad ki aankhon meiAthara baras paala maa ne jisse parde meiBarchi ki anee tuti us chand ke sine meiWo laashae akbar hai sajjad ki ankhon meiHar dard ka manzar hai sajjad ki aankhon meiJab tak bhi rahi zindaan saaye mei nahi betiBas yaad mei asghar ki koi huwi rehti thiBesheer ki madar hai sajjad ki aankhon meiHar dard ka manzar hai sajjad ki aankhon meiJis keliye bachpan mei jannat se libaas ayeWo dilbare zahra hai be goro kafan hayeMazloomiye sarwar hai sajjad ki ankhon meiHar dard ka manzar hai sajjad ki aankhon meiBe parda jo guzri hai bazaar ke raste seBe jurmo khata jis par pathar bhi baraste theWo aale payambar hai sajjad ki aankhon meiHar dard ka manzar hai sajjad ki aankhon meiKistarha bulade wo bachi ki shahadat koDafnaya jo zindaan mei baba ki amanat koGhurbat ka wo manzar hai sajjad ki aankhon meiHar dard ka manzar hai sajjad ki aankhon meiTanhayi hai aur ghar hai har din hai qayamat kaDil kese lage uska veeraan hai har hujraZahra ka bhara har hai sajjad ki aankhon meiHar dard ka manzar hai sajjad ki aankhon meiAy mir takallum jo hai aaj talak jaariHai mujko yaqeen jiska katra hai azadariWo gham ka samandar hai sajjad ki aankhon mei[Har dard ka manzar hai sajjad ki aankhon mei] ×2
Har dard ka manzar hai
Fatema Ladak · 2012
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.