Haye alamdaar, haye alamdaar..(2)Karte hai matam haram abbas kahogaya marna sitam abbas ka..(4)Haye alamdaar, haye alamdaar..(3)Kehte the qamar thaam ke ye sayyede abraarHaye alamdaar, haye alamdaar..(2)1. Ye haal hai laashe ka sambhala nahi jaata..(2)teer aankh se bhai ki nikala nahi jaataImdaad ko aajaiye ya haider e qarrarHaye alamdaar, haye alamdaar..(2)2. Zainab ne teri aas pe chhoda tha madinamai kaise batau use saqqaye sakinamara gaya zainab teri chadar ka nigehdaarHaye alamdaar, haye alamdaar..(2)3. Tum qatl hue hum pe bhi chal jayegi shamsheeraghyaar mein reh jaegi tanha meri hamsheerzainab ki rida bachne ke baaqi nahi aasaarHaye alamdaar, haye alamdaar..(2)4. Jis tarha se ghar laye the masjid se Ali kous tarha se le jayenge khaime mein jari koakbar mere bhai ka janaza karo tayyarHaye alamdaar, haye alamdaar..(2)5. Bazu bhi qalam hogaye ae bazu e shabbirtukde hai badan aankh mein paywast hua teerkisne ye meri maa ki duao'n pe kiya waarHaye alamdaar, haye alamdaar..(2)6. Aati hai sada loot lo namoos e nabi koab maarna aasa'n hai Hussain ibn e ali komarne pe tere jashn manate hai sitamgaarHaye alamdaar, haye alamdaar..(2)7. Akbar hume mushkil se bohot laaye hai bhaimaidaan mein girte hue hum aaye hai bhaiaakhein to zara kholo mere munis o ghumkhwaarHaye alamdaar, haye alamdaar..(2)8. Ek baat tumhein karb ki batlata hu bhaiyyajab bhi koi masuma ke marega tamacharo ro ke pukaregi sakina tumhe har baarHaye alamdaar, haye alamdaar..(2)9. Tha mir takallum yehi shabbir ka nauhajaate hue pura karo armaan hamaraaye bhai hume bhai pukaro zara ek baarHaye alamdaar, haye alamdaar..(2)Kehte the qamar thaam ke ye sayyede abraarHaye alamdaar, haye alamdaar..(2)
Haye alamdaar
Mir Hasan Mir · 2020
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.