Azadari MediaAzadari Media

Haye Ali(as) Maare Gaye

Shahbaz Ali Khan · Poet: Wila Hallauri · 1439

Listen to this nauhaPlay the audio with lyrics
Nauha e Jibreel goonja haye ALI maare gaye Kyu'n na ho ik Hashr barpa haye ALI maare gayeAb yatimi saayebaa'n hai SHABBAR O SHABBIR par Zakhm kaari hai ye Qalb e ZAINAB E DILGIR par Khu'n fisha'n hai Chashm e ZAHRA haye ALI maare gayeMURSAL E HAQ khaak udaate aaye turbat chhord kar Kul malayek arsh se aaye Zamin par nauhagar Chain khota hai Zamana haye ALI maare gayeKhoon e Dil KULSUM ka hai deeda e Hassas me'n Dard Ka toofa'n utha hai ik dil e ABBAS me'n Marsiya karti hai'n FIZZA haye ALI maare gayeSar do paara jo hua KHAIRUL WARA ka Momino'n Tar hua tab Khoon me'n Chehra KHUDA ka Momino'nHil raha hai arshe A'ala haye ALI maare gayeKaa'npte haatho'n se pehnaya kafan HASNAIN NeRo Pade Kul AMBIYA Nauha Kiya kaunain NeJaa'n bà lab hai Shehre Kufa haye ALI maare gayeZaahiri Rukhsat Huwi Yu'n HAIDAR E KARRAR KiKhoo'n Maka'n Roya Bandhi Hichki dar o diwar Ki Sogwaro'n ka hai Naala haye ALI maare gayeHar taraf chhaya Andhera Roshni khamosh haiKar rahi hai Maut nauha zindagi khamosh hai Bain hai AHLE "WILA" ka haye ALI maare gaye

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.