Bekafan chord ke maqtal me padar ka lashaHaye beemaar chalaShurkh chehre pe udasi ko liye rota huaHaye beemaar chalaKis tarah sayyad e abraar ko de gusl o kafanYaad aane laga pardes me aabid ko watanHoke beyaar o madadgaar gharibul ghurabaHaye beemaar chalaJism se loot liya sheh ka sitamgar ne libaasLaash dhakne ke liye hai nhi chadar koi paasAese halaat me bhi karta hua shukr e khudaHaye beemaar chalaKaanpte kaanpte aage jo badhata hai qadamKhaye jata hai isi baat ka sajjad ko ghamDhoop me sayyad e masloom ka lasha hai padaHaye beemaar chalaHuqm rone ka inhe baani e shar ne na diyaDo ghadi baap ki mayyat ke thaharne na diyaTaziyane ko liye shimr e sitamgar badhaHaye beemaar chalaKoi bhi sayyad e sajjad ka diljoi nhiAurte bacche hain mardo me bacha koi nhiLaash e sarwar ki nigehbaani kare kon bhalaHaye beemaar chalaZabt ka waqt hai aansu na bahao betaHai yahi huqm e khuda qaid me jao betaAayi jab halq e burida se ye sarwar ki sadaHaye beemaar chalaEyk bete ke liye hai ye musibat ki ghadiHathkadi hath me pairo me hai zanjeer padiTauk gardan me hai or ghere hain sab ahl e jafaHaye beemaar chalaRauza e shah pe Naukar ye parhege NauhaApk laal ki ghurbat ko Karen kaise AdaAaj tak sayyed e sajjad ki aati h sadaHaye bimar chala
Haye Bemaar Chala
Mir Tajamul Abbas Faiyazi · 2022
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.