Hayeghazi na rahaDasht-e-purhol say aati hay musalsal ye sada haye ghazi na rahaHo gaya hashr bapa sheh nay jo ro kar ye kaha haye ghazi na raha1- iss say bhar kar kahan tutay ge qayamat koiAbb nahi apni ridaoon ki zamanat koiHay muhafiz jo rida ka wahi marnay ko chala haye ghazi na raha2- sheh nay girtay huway daikha tha jo ghazi ka alamTham kar apni kamar bolay thay yay shah-e-umamTeray marnay say kamar tuti hay meri ba khuda haye ghazi na raha3- hoook se utthi hay ye daikh kay ab dil main merayAnkh main teer hay bazu hain katay bhai terayIsss gharibi may meray bhai huway tum bhi juda haye ghazi na raha4- thi wasiyat lab-e-abbas pay ye bad-e- salamLash ko lay kay nahi jaiyay ga sua-e-khayamMeray mola mujay aati hay sakina say haya haye ghazi na raha5- sar jhuka ay huway maqtal say hain aaye sarwarLash ke tarha alam ko hain uthaye akbarGhazi aaya nahi aaya hay alam khoon main bhara haye ghazi na raha6- mashk kay band hain ya dastay sakina ashharAysa lagtha hay kay kehti ho hazina ro karPani mangoon ge nahi ran say palat aaoo chacha haye ghazi na raha
Haye ghazi (AS) na raha
Fatema Ladak · 2011
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.