Azadari MediaAzadari Media

Haye Haye Ali Akbar

Rizwan Rizvi · Poet: Marhum Mehshar Lakhnawi · 1447

Listen to this nauhaPlay the audio with lyrics
Haye Haye Ali Akbar (A.S)Kehti Thi Yeh Maa Khoo'n Bhari Maiyat Say Lipat KarHaye Haye Ali Akbar, Haye Haye Ali Akbar.Aye Khuda Kabhi Kishe Buddhi maa ko jawaan bete ka laasha na dikha naArman Tha Pehnaungi Gi Poshak Shahani Afsoos Keh Raas Ayi Na Tujh Ko Yeh Jawani Kaisa Tha Muqaddar,Haye Haye Ali Akbar, Haye Haye Ali Akbar.Itna To Zara Thehro Tumhain Dhulha Bana Loon Bas Ek Jhalak Sahray Ki Sughra Ku Dhika Loon Baichain Thi Khawahar,Haye Haye Ali Akbar, Haye Haye Ali Akbar.Maa Teri Judayi Mein Bhala Kaisay Jiye Gi Maar Jayegi Sughra Jo Khabar Teri Sunay Gi Ab Kya Karoon Dilber,Haye Haye Ali Akbar, Haye Haye Ali Akbar.Tehro Kay Mein Atharween Mannat To Badha Loon Phir Lay Kay Balayein Tujhay Jeenay Ki Dua Doon Sadqay Ho Ay Maadar,Aathara Baras Paal Kay Parwan Charhaya Wo Gaisuwoon Wala Hai Mera Khoo'n Main NahayaYe Kya Hua Dilbar,Haye Haye Ali Akbar, Haye Haye Ali Akbar.Yeh zakhm kaleje ka Payambar ko dikhaana,Yeh sookhi zabaan Saqi e Kauthar ko dikhaana,Ai tashnaa e kautharIss tarhaa se aaya hu teri laash pe akbarEk haath kaleje pe toh ek hath kamaar parNauha tha laabo parHaye haye ali akbarSeene pe tere haye badaa zulm huwa haiBaarchi hai lagi tujhko mera qalb chidaa haiSheh khete hai ye RokarHaye haye ali akbarTum Hichkiyaan Lay Lay Kay Jo Dam Taur Rahay Ho Mun Maa Say Hamaisha Kay Liye Mour Rahay Ho Kiun Roothay Ho Dilber,Haye Haye Ali Akbar, Haye Haye Ali Akbar.Khaime mai tumhe lekee na jaa paunga betaKuch dikhta nahi raah mai gir jaunga betaUthh jao chalo gharHaye haye ali akbarDaam karti thi aayat bhi or nade ali bhiMaari hai laeeno ne usshe seena pe barchiKaise te sitamgarPehlay To Ek Aawaz Pay Uth Jatay Thay Beta Ab Itni Saada'oon Pay Bhi Pehloo Nahi Badla Kya Ho Gaya Dilber,Haye Haye Ali Akbar, Haye Haye Ali Akbar.Jab Koi Jawan Laash Nazar Aati Hai "Mehshar" Ek Yaad Suyay Karbobala Jaati Hai "Mehshar"Dil Rota Hay Keh Kar.Haye Haye Ali Akbar

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.