Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Haye jis kurte mein zindaan

Mir Rehan Abbas · 2018

Haaye jis kurte me zindaan talak laayi gayiAye sakina tu usi kurte me dafnaayi gayi1. Tere kaano se na rukh paaya lahoo ka behnaKab ruka sham talak haaye tamache lagnaHar qadam haaye aziyath hamen pahunchaayi gayiHaaye jis kurte me zindaan talak laayi gayi2. Tujhko zindaan me sar baap ka dikhlaay agayaImtehaa baap ki chahat ka tumhe dena padhaJitna tu royi koi bachi na rulwaayi gayiHaaye jis kurte me zindaan talak laayi gayi3. Jitna maiyat pe teri barsi ye ghurbath bibiAise dafnaayi nahi jaati hai koi bachiDo bandhe haatho’n se tu qabr talak laayi gayiHaaye jis kurte me zindaan talak laayi gayi4. Kabhi garden pe rasan aati kabhi jism bandhaHaaye thi kaisi tasalli ki chini teri ridaHar nafas ek qayamath tere sar dhaayi gayiHaaye jis kurte me zindaan talak laayi gayi5. Naam sunte hee tera bhaayi chala aata haiShimr lagta hai aziyath tumhe phir deta haiJab kabhi teri musibath kahee’n dohraayi gayiHaaye jis kurte me zindaan talak laayi gayi6. Mere dada ne to qatil ko pilaaya paniAur mere baba ne haiwaano ko baqsha paniEk sakina hee meri pani ko tarsaayi gayiHaaye jis kurte me zindaan talak laayi gayi7. Meri khwahar ko kaneezi me koi maarta thaAur koi raah me sadqa ise dikh laata thaPoti zehra ki aur baazaro’n me bulwaayi gayiHaaye jis kurte me zindaan talak laayi gayi8. Thi dua baba ki mujhse na bichadne paayeItna mai chaahoo’n mere bin na use neend aayeSheh se Rehan-o-Mubarak wahi chudwaayi gayiHaaye jis kurte me zindaan talak laayi gayi

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.