Fatima Zahra Ko Dafna Kar Ali Na Uth SakeApna Dil Thaame Lehad Ke Paas Hi Baithe RaheHo Gayi Jab Der To Baazu Pakad Kar Baap KaYe Sada Ro Kar Hussain Ibn-e-Ali Dene LageHo Chuki Hain Dafn Amman, Mere Baba Ghar ChaloGhar Mein Zainab Hai PareshaanMere Baba Ghar ChaloSoch Kar Is Dard Ko Rukti Nahi Hain SiskiyanMeri Amma Jaan Ki Tooti Hui Thi PasliyanGham Se Jaati Hai Meri JaanMere Baba Ghar ChaloAa Raha Tha Zauf Se Kulsoom Ko Ghash Baar BaarGhar Ke Darwaaze Pe Zainab Ro Rahi Thi Zaar ZaarKaun Hai Unka NigehbaanMere Baba Ghar ChaloJaane Kaise Mere Baba Aapne Ye Gham SahaJis Ghadi Amma Pe Meri Jalta Darwaaza GiraYaad Aati Hain Woh GhadiyanMere Baba Ghar ChaloMaa Ke Rehne Se Hi Reh Paati Hain Ghar Ki RaunaqeinMaa Ke Mar Jaane Se Mit Jaati Hain Ghar Ki RaunaqeinGhar Hua Hai Aaj VeeraanMere Baba Ghar ChaloMera Amma Se Nahi Dekha Gaya Tha RoothnaYaad Aata Hai Mujhe Bande Kafan Ka TootnaGham Nahi Sehna Ye AasaanMere Baba Ghar ChaloYe Bharosa Hai Mujhe, Sun Kar Meri Fariyaad KoKarbala Mein Aayengi Amma Meri Imdaad KoAap Bhi Karna Ye EhsaanMere Baba Ghar ChaloApne Ghar Jaane Se Pehle Baba Itna KijiyeMeri Amma Ke Liye Ek Fateha Padh DijiyeRaat Hai Kuch Pal Ki MehmaanMere Baba Ghar ChaloQabr-e-Zahra Se Lipat Kar Ro Pade Maula AliJis Ghadi (Yaqoob) Ye Shabbir Ne Aawaaz DiQabr Par Karke CharaaghaanMere Baba Ghar Chalo
Ho Chuki Hai Dafn Amma Mere Baba Ghar Chalo
Haziq Hasan · Poet: Yaqoob Jarchavi · 2026
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.