Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Hogayi aah be pidar zainab

Mukhtar Hussain · 2014

Hogayi aah be pidar zainab..(2)Kam hai ab roye jis qadar zainabHogayi aah be pidar zainab1. Aaj hai farsh e ghum pe ehle azaabaap ke ghum mein nauha gar zainabHogayi aah be pidar zainab2. Rokle apne aasuo'n ko zara..(2)ab to rona hai umr bhar zainabHogayi aah be pidar zainab3. Dekhna ek din dikhayegishaam tujhko yehi sahar zainabHogayi aah be pidar zainab4. Ibteda hai abhi to kufe mein..(2)tujhko hona hai dar badar zainabHogayi aah be pidar zainab5. Majma e aam hoga galiyo'n mein..(2)aur hogi barehna sar zainabHogayi aah be pidar zainab6. Tere naalo se ho raha hai bapa..(2)ek kohraam arsh par zainabHogayi aah be pidar zainab7. Sayyeda aagayi hai jannat se..(2)saara matam kadaa hai ghar zainabHogayi aah be pidar zainab8. Karte hai jis tarha yateem basar..(2)ab karo umr yu basar zainabHogayi aah be pidar zainab9. Ronaq e uth rahi hai duniya sejaa raha hai tera pidar zainabHogayi aah be pidar zainabKam hai ab roye jis qadar zainabHogayi aah be pidar zainab

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.