Hosla Baba[Main Kaisay Doongi Hatimoon Ko Hosla Baba] ×2Bujha Rahi Hai Diyay Shaam Ki Hawa Baba(a.s.)[Main Kaisay Doongi Hatimoon Ko Hosla Baba] ×2Tumhara Saamna Kaisay Karay Haya MeriUdo Nay Cheenli Baba(a.s.) Abhi Rida MeriHamari Mushkilein Tum Hi Karo Kusha Baba(a.s.)[Main Kaisay Doongi Hatimoon Ko Hosla Baba] ×2Jaltay Khaimon Ka Dhuwan Daikh Rahay Ho Baba(a.s.)Ashk Aankhon Say Rawan Daikh Rahay Ho Baba(a.s.)Guzar Gaya Meray Kunbay Peh Saneha Baba(a.s.)[Main Kaisay Doongi Hatimoon Ko Hosla Baba] ×2Tamam Din Woh Manazir Nazar Nay Daikhay HainWoh Daikho Ganj-e-Shahidaan Mien Kitnay Lashay HaiUthakay Lashay Mera Bhai(a.s.) Thak Gaya Baba(a.s.)[Main Kaisay Doongi Hatimoon Ko Hosla Baba] ×2Meray Ghareeb(a.s.) Ko Lakhon Nay Milkay Maara HaiHar Aik Zakhm Peh Us Nay Tumhain Pukara HaiBaghair Dhaar Ka Khanjar Tha Aur Gala Baba(a.s.)[Main Kaisay Doongi Hatimoon Ko Hosla Baba] ×2Main Haath Malti Rahi Sheh(a.s.) Peh Chal Gaya KhanjarHai Meray Bhai(a.s.) Ka Laasha Bhi Jalti Reti ParKafan Bhi Bhai(a.s.) Ko Meray Nahin Mila Baba(a.s.)[Main Kaisay Doongi Hatimoon Ko Hosla Baba] ×2Azan Jo Di Ali Akbar(a.s.) Nay Parh Kay BismillahTarhap Tarhap Kay Main Roi Hoon Subhey AshuraMain Jaanti Thi Bicharhta Hai Mehlaqa Baba(a.s.)[Main Kaisay Doongi Hatimoon Ko Hosla Baba] ×2Janaza Amman Ka Shab Mein Uthaya Tha Tum NayMain Roi Thi To Galay Say Lagaya Tha Tum NayTumhari Beti(s.a.) Hai Maqtal Mein Be Rida Baba(a.s.)[Main Kaisay Doongi Hatimoon Ko Hosla Baba] ×2Chupalo Apni Aba Mein Keh Thak Gai Hoon MainAseer Hokay Suey Shaam Jaarahi Hoon MainSafar Taweel Hai Dushwaar Raasta Baba(a.s.)[Main Kaisay Doongi Hatimoon Ko Hosla Baba] ×2Bachakay Sholon Say Abid(a.s.) Ko Lai Hoon Baba(a.s.)Main Ghumzada Hoon Falak Ki Satai Hoon Baba(a.s.)Kaleja Dard Say Zainab(s.a.) Ka Phat Gaya Baba(a.s.)[Main Kaisay Doongi Hatimoon Ko Hosla Baba] ×2
Hosla Baba
Farhan · 2003
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.