Hum wahi log hai - 4Karbala se chale jab ke ahle haramGuzre ganje shaheeda se ba chashme namGirte padte chale Abide khasta damPohche kufa to bole imame umamDekhlo kufiyo hum wahi log haiHum wahi log hai x 2Dekhlo kufiyo hum wahi log hai1. Khatm jis ghar pa aaker shariyat huiAur muqammal nabuwat risalat huiFarz ummat pa jinki ita'at huiUnki ummat ke haatho ye haalat hui2. Jinka jibrael jhula jhulate raheHuro gilmaan lori sunaate raheBanke saael malaaek bhi aate raheAmbiya jinke ghar aate jaate rahe3. Maghbate wahya hai jinka ghar wo hai humJinki sidra bani rehguzar wo hai humJo hai marzi ye rab sar ba sar wo hai humSajdagahe rasool jinka ghar wo hai hum4. Hum ke Allah ki tarjamani kareAmbiya jinke ghar ki gulami kareJibrael aaye aur jab hasayi kareJinno inso malak madhakhwani kare5. Tum jama jo yahan itnai afraad hoDekh kar ham ko mushkil main kyun shaad hoya Nabi zadiyaan hai agar yaad hoTum hamarai ghulaamo ki aulad ho.6. Jin ka tum dekh tai ho tamasha yahanBint-e-Paighambare do jahan in ki maaThi yahi pehlai kufai ki shahzaadiyaanThi kaneezain tumhari bahu betiyan.7. Hum ko taajo hukumat sai raghbaat kahanHum tumhaarai bulaanai par aye yahanMujhko pehnayai tauk-o-rassan bediyaanHun main ibn-e-Imamo Imam-e-zaman.8. Kaisai kaisia haseen aur piyarai gayaiMushafe-noor Quran kai paarai gayaiSaamnai apni aankhon kai taarai gayaiKaisai kaisai jawa apnai maarai gayai.9. Ghar ka ghar nazrai Karbobala ho gayaAaj balwe mei hai itrat-e-MustafaQaid aur band mei hum howe mubtalaHum ko dar dar phiratai ho tum bai khata.10. Phir rahai hai jo bazaar main dar ba darLutt gaya do pahar mein bhara ghar ka ghaarHai shaheedon kai laashai pade khaak parNok-e-naiza pa hai sab shaheedon kai sar.11. Mai bazahir nahi faur bezaar huBhuka pyasa aseer aur beemar huMujko majboor mat jaano mukhtar huPar razae elahi se lachaar hu12. Kya meri shayri aur nauha meraMir sahab ka arse se israar thaAap aye sibte jafar jo pursa diyaDar haqiqat ye hai sayyada ki ata
Hum wahi log hai
Shaheed Sibte Jafar · 2010
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.