Husain baan't rahe hai nijaat le jao..(2)kuch aasuo'n ke ewaz kayenaat le jaoHusain baan't rahe hai nijaat le jaoYe karbala hai ye mojiz numa ki basti hai..(2)kafan mein iske lapeto, hayaat le jaoHusain baan't rahe hai nijaat le jaoKahenge matami halqo'n se log mehshar mein..(2)hume hussain ki jannat mein saath le jaoHusain baan't rahe hai nijaat le jaoNahi karunga lahad mein mai intezaar e sahar..(2)farishto karbobala raat o raat le jaokuch aasuo'n ke ewaz kayenaat le jaoHusain baan't rahe hai nijaat le jaoQasam hussain ki purse mein kam hi lagta hai..(2)baland jitna bhi matam mein haath le jaoHusain baan't rahe hai nijaat le jaoKaha ye khizr se abbas ne yaha'n aakar..(2)hamari mashk se aab e hayaat le jaoHusain baan't rahe hai nijaat le jaoAe maujo'n uttho areeze ko saath lejao..(2)Imam e Asr talak meri baat lejaoKuch aasuo'n ke ewaz kayenaat le jaoHusain baan't rahe hai nijaat le jaoKhuda utaarne wala hai sadqa Mahdi ka..(2)Rasoolo'n aao naye mo'jizaat le jaoHusain baan't rahe hai nijaat le jaoKahengi Fatima waqt e zahoor Mahdi se..(2)ladayi ke liye ghazi ko saath le jaoHusain baan't rahe hai nijaat le jaoGhume hussain mein har zakhm mojiza hai naeem..(2)sajake jism pe kuch mojizaat le jaoHusain baan't rahe hai nijaat le jao
Hussain bant rahe hai nijaat le jao
Mir Hasan Mir · 2019
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.