Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Hussain Ibne Muhammad (sawa)

Shahid Baltistani · 2025

Hussain - 4Aao aao aashiqane MustafaYe mahe aza hai, ye mahe aza hai, ye mahe aza haiIs zameen ta arshe bari chaaron taraf, jo gham ki faza haiYe mahe aza hai, ye mahe aza hai, ye mahe aza haiAarzue Kibriya hai, maatam-e-HussainBaksheesho ka raasta hai maatam-e-HussainAur Nizaam-e-Mustafa hai maatam-e-HussainMaatam-e-HussainAli o Fatima ka laal hai yeKhuda ka laadla HussainHussain Hussain Hussain ibne Mohammad Swallallahu Alaihi wa aalehiKoi nahi koi nahi laadla aisaJiske liye Rab ne ho qanoon ko badlaSaare sahifon mein, kitaabon mein likha haichakhna kisi mitti ko jaayaz nahi wallahMagar Hussain, tera jahan pe khoon giraKiya Khuda ne use khaake shifaAli o Fatima ka laal hai yeKhuda ka laadla HussainHussain Hussain Hussain ibne Mohammad (S.A.W.)Roz-e-azal bol chuka Khaliq-e-AkbarKhuld ki shay khuld se jaati nahi baaharKaala libaas iske liye pehna hai humneJiska libaas aaya tha jannat se zameen parYe humse mat poocho, humein nahi tokoHai dum to badlo ghilaaf-e-KaabaAli o Fatima ka laal hai yeKhuda ka laadla HussainHussain Hussain Hussain ibne Mohammad (S.A.W.)Hamare ishq ki misaal — KarbalaHamara markazi khayaal — Ya HussainPehli dafa god mein jab tujhko uthayaKhud ko Mohammad ne azaadaar banayaNaana ke ashkon ko bhulaya nahi tuneDeene Mohammad tha magar tune bachayaAe aashiqane Nabi, aza mein aansoo abhibahaao kar lo Mohammad se wafaaAli o Fatima ka laal hai yeKhuda ka laadla HussainHussain Hussain Hussain Mohammad (S.A.W.)Aaqa Mohammad ke gharaane ka ye ghum haimajlis Shabbir mein aana ye karam haiye jo badi shaan se ghar ghar pe lagaa haiAale — Mohammad ki nishani — ye alam haiAlam uthaate raho, ye gham manaate rahoAli o Fatima se le lo duaaAli o Fatima ka laal hai yeKhuda ka laadla HussainHussain Hussain Hussain Mohammad (S.A.W.)Hamare ishq ki misaal — KarbalaHamara markazi khayaal — Ya HussainAna majnoonal Hussain - 4Tere hi maatam mein fanaa hai meri hastiKarb-o-bala hi to fakeeron ki hai bastiKaise samajh paaye malangon ko zamaanaAql se baalaa hai tere ishq ki mastiAye Sakhi ibne Sakhi, tu banaata hai waliHai ye Shahbaz Qalandar ki sadaaAli o Fatima ka laal hai yeKhuda ka laadla HussainHussain Hussain Hussain ibne Mohammad (S.A.W.)Iska lahoo mera lahoo, iska badan mera badan haiIski aankhen meri aankhen, Iska chalan mera chalan haiYe Qawle — Nabi hai, ye qawle — Nabi hai,kya kahein Zeeshan aur darveshe azaa...Afsos yehi hai - 2jo Mohammad ne kaha Logon ne woh juthlaayaHaaye Mehmaan use karbobala bulwaayaUsko paani na diya, uska ghar loot liyaZakhmi naize se kiya seena Ali Akbar kateer se cheed diya nanha gala Asghar kauska Qasim na raha Uska Gazi na rahaMar gaye auno Mohammad, koi yawar na bachaReh gaya dasht mein tanha woh gareebe ZahraMurtajiz sawar akela chala — HussainTeeron tabar gurz se zakhmi hua HussainItne sitam par bhi sambhalta raha HussainMaar ke nezon se giraaya gaya HussainShimre laeen shah ke jab seene pe aayahaaye kheench ke baalon se Tamaacha bhi lagaayaHaath rakha maan ne bahut baar bachaayaHaye magar kat gaya sar — bach nahi paayaShimr chala — baalon se jab sar ko uthakarFatima zahra ne kaha khaak udaakar — Hussainwawayla Hussain wawayla - 4

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.