Aza tamam marqad karo azadaronHussain jaate hain rukhsat karo azadaron (2)Haye Hussain (6)Hussain jaate hain rukhsat karo azadaron (2)1. Safar ka waqt hai mehman ko alwida kahoJuloos e shah e shaheedan ko alwida kahoUjad ne wale hain kuch der may azakhane (2)Kisi behan ko kisi maa ko alwida kahoHussain jaate hain rukhsat karo azadaron (2)2. Zari hi tashna musafir ki behne wali haiImam walon ki raunakh ujad ne wali haiBujhe hue hain diye ro rahi hain deewarein (2)Jo mehman thi woh Bibi bichadne wali haiHussain jaate hain rukhsat karo azadaron (2)3. Saron pe dard hai ansun hai astinon parUdas baithe hain sab maatami zameenon parRula rahe hain ye murjhaye phool sehron ke (2)Na Ghazi ye hain na patke hain shah nasheenoon parHussain jaate hain rukhsat karo azadaron (2)4. Kahan aaj ye manzar aza ke layegiYe khamoshi ye udasi hume rulayegiJiyenge kaise Zari o Alam se hoke judaNa din ko chain na raathon ko neend ayegi (2)Hussain jaate hain rukhsat karo azadaron (2)5. Nabi ke chain ko kaise kahen KhudahafizShahe Hunain kaise kahen KhudahafizYe soch soch ke ankhon may asq aaye hain (2)Ke hum Hussain ko kaise kahen KhudahafizHussain jaate hain rukhsat karo azadaron (2)6. Suqood bazme aza ka bohot rulayegaKhud apne ghar ka ye sannata humko khayegaKise qabar ke ye din phir naseeb ho ke na ho (2)Jo agle saal jiyega woh gham manayegaHussain jaate hain rukhsat karo azadaron (2)7. Udaasiyan sabhi maaon ke rukh pe chayi hainLabon pe bayan ko aankhon may ashq layi hainPhuppi ko dena hai pursa tumhare baba ka (2)Sakina Bibi tumhari kaneezein aayi hainHussain jaate hain rukhsat karo azadaron (2)8. Tumhari yaad may bechain hote jate hainTumhari hujr may jaan apni khote jaate hainInhe bhi dekhlo jhoole se ay Ali Asghar (2)Ye bache godi may maaon ki rote jaate hainHussain jaate hain rukhsat karo azadaron (2)9. Jab aayega kisi barchi ka yaad royengeQasa may goonjegi jab jab azan royengeTumhari hujri ay Shabhiye Paighambhar (2)Lab apna peetkar saare jahan royengeHussain jaate hain rukhsat karo azadaron (2)10. Hay itna ameer o nayyar kabhi yakeen maulaPasand donon ko hai sar zameen maulaBadan humara hai bharath bhi karbala bhi magar (2)Jahan chale ho le chalo hume bhi maulaHussain jaate hain rukhsat karo azadaron (3)Haye Hussain (6)
Hussain jaate hain rukhsat karo azadaron
Ameer Hassan Amir · 2007
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.